Thursday 25 July 2013

Barish Ka Intzaar – II


Badal Zor Zor Se Garjane Lage !! Badalo Ki Garjana Sunkar Sabhi Log Ghar Se Bahar Aa Gaye, Aakhir Eas Din Ka Pura Gaon Besabri Se Intzaar Kar Raha Tha. Badal Garjane Ke Saath Barsane Lage Aur Charo Taraf Pani Ki Bauchhar Ho Rahi Thi. Meetti Ki Sondhi Khushabu Charo Taraf Se Aa Rahi Thi. Gaon Wale Barish Mai Bheeg Kar Barish Ka Maza Le Rahe The. 





Barish Ne Charo Taraf Aanand Ka Mahol Bana Diya. Gaon Ke Chhote Chhote Bachhe Aake Pokhro Mai Tairane lage. Ek Taraf Mor Apane Nritya Dikha Raha Tha Aur Dusari Taraf Medhak Gana Ga Rahe The, Zharne Se Zhar – Zhar Ki Aawaz Ke Saath Pani Aapni Rah Bana Raha Tha. Barish Ne Pine Ke Pani Ki Samsya Ko Hal Kar Diya. Aab Pure Gaon Ke Paas Pani Tha Par Khane Ki Killat Abhi Bhi Thi. Pana Tomar Ne Rasan Ka Maal Hajam Kar Liya Tha Aur Logo Ko Barish Na Hone Ki Duhai Dekar Dukan Se Lauta Raha Tha.


 


Barish Lagaatar Ho Rahi Thi. Khet  Pani Se Bhare The. Ab Dhan Ki Buvaai Ka Samay Aa Gaya Tha. Dattu Apani Maa Ke Sath Khet Mai Dhan Ke Behan Leke Pahuch Gaya. Maa Aur Bete Ne Ek Din Me Pure Khet Me Dhan Ke Behan Rop Diye. Barish Eas Tarah Se Hoti Rahi To Eas Saal Dhan Ki Fasal Kafi Achchi Hone Wali Thi. Pahad Pe Charo Taraf Hariyali Thi Aur Pedo Par Phal Ki Bharmaar Thi. Pahado Pe Kai Phal Aise Hote Hai Jo Barish Ka Pani Padane Ke Baad Hee Pakte hai.





Dattu Ke Pass Sadhe Tinsau Ped The Jisape Tarah – Tarah Ke Phal Lagate The. Aab Phal Todkar Beche Bhi Jate Aur Khaye Bhi Jaate. Aaj Jab Insaan Chand Par Jaa Pahucha, Hamare Bharat Me Kai Aise Gaon Hao Jo Barish Ke Upar Puri Tarah Se Nirbhar Hai. Barish Se Hee Unka Jeevan Chalta Hai Aur Bina Barish Ke Unki Jindagi Tham Jaati Hai. Barish Dev Me Dev Hai.





Musladhaar Barish Ek Saptah Tak Hui Aur Phir Ruk Gayi.


No comments:

Post a Comment

.