Saturday, 5 October 2013

Kalanki Avatar - V



2032, India



Kamal Ram ki mrityu ke do mahine me hee Bharat ki dasha aur
disha sab kuchh badalane lagi. Charo taraf ka mahol bigadane laga. Charo taraf
afra tafri ka mahol tha. Shasan kisi bhi tarah ki rahat pahuchane me nakam tha.
Rashtriya Hindu Party ka har neta Pradhanmantri banana chahta tha aur desh me
ho rahi ghantano ki taraf dhyan na dekar rajnitik jod tod me laga tha.





Anti Social activities badhane lagi, criminal graph phir se
upar chadhane laga. Achanak se Bharat phir 2013 ke mahol me pahuch gaya tha.
Gangwar, robbery, murder phir se News papers ki headlines ban gaye the. Police aur
sabhi sarkari tantra fail ho rahe the. Political leaders eas situation ka
phayada lena chahate the easliye unhe eas kat maar me maza aa raha tha.





Aam aadmi ek bar phir apne aap ko unsafe mahesus kar raha
tha. Sadak par chalna ab mushkil tha. Har kadam par dark a mahol tha. Kamal Ram
ke marane ke kuchh hee mahino me aisee halat hogi aisa kisi ne kalpana bhi nahi
ki thee. Aam aadmi phir se masiha ki talash me tha. Aam Aadmi ki jindagi jangal
ke janwar ki tarah thee, jise pata nahi tha kisi or se kab koi janali prani
aakar unka shikar kar lega.





Aur phir





Bharat ke har kone se ek ke baad ek
 Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to OB vains kam pad gayee har
murder ki coverage dikhane ke liye. Police, Prasashan Sabhi samajh nahi paa
rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me bade avadho par baithe afsaro ki
tadat kam hoti ja rahi thee. Har taraf Politicians, Gangstars, Government
officers, Business Men mar rahe the.




Shayad se Aam Aadmi ka masiha aa chukka tha.




No comments:

Post a Comment

.