Showing posts with label Laghu Katha. Show all posts
Showing posts with label Laghu Katha. Show all posts

Monday, 24 February 2014

कोयले की चोरी


कमाल सुबह उठा और जैसे ही उसके हाथ मे अखबार आया वो
कोयले की चोरी का मामला पढ़कर हक्का - बक्का रह गया. कोयले हमारे भारत की
भू संपदा है उसका चोरी होना कोई मामूली बात नहीं थी. कमाल सोच सोच कर हैरान
था की कोयला चोरी कैसे हुआ.  कमाल नुक्कड़ पर चाय पीने आया तो लोगो से बात
करने लगा की किस तरह करोडो का कोयला चोरी हो गया. कमाल ने गाँव के लडको के
साथ कभी बार मालगाड़ी मे से कोयला चुराया पर कभी भी उसे बेचने के बाद हज़ार
रुपये से ज्यादा नहीं मिला क्योंकि उससे ज्यादा का कोयला चुराकर बेचना आसन
नहीं था.





कमाल कोयले की चोरी के बारे में सोच सोच कर परेशान हो रहा
था क्योंकि वो जानना चाहता था की कोयला किस तरह चुराकर ले जाया गया और किस
बन्दे ने करोडो हज़ार रुपये के कोयलों की चोरी की और किस बन्दे ने करोडो
रुपये के कोयले को हाथो हाथ खरीद लिया. कमाल जानता था की कोयला चुराना कोई
आसन काम नहीं है. कोयला चुराकर बाज़ार तक पहुचाना काफी कठिन था. कमाल फिर से
घर आया और अखबार उठाकर पढ़ने लगा. इस बार उसने हर एक बात ध्यान से पढ़ी तब
उसे मालूम पड़ा की कोयला सिर्फ सरकारी पन्नो पर चोरी हुआ है. असली कोयला
अभी भी वाही पड़ा है जमीन के नीचे, पर आज नहीं तो कल वो जमीन के नीचे से चोरी हो जायेगा.




कमाल
भी अब बड़ी कोयला चोरी के बारे मे सोचने लगा. वो भी अब सिर्फ पन्नो पर
कोयला चोरी कर के पैसा कमाना चाहता था. कमाल को लगा की पन्नो पर कोयला चोरी करना  आसन है पर उसे पता नहीं था की पन्नो पर कोयला चोरी करने के लिए उसे
पहेले राजीनीति मे आना पड़ेगा और कोयला चोरी के लिए कम से कम विधानशभा का
चुनाव जितना पड़ेगा जो अपने आप मे बहुत बड़ा काम है और कमाल जैसे बन्दों को
आपना पूरा जीवन लगाना पड़ेगा और शायद पूरा जीवन लगाने के बाद भी मौका न
मिले.




Sunday, 17 November 2013

Kalanki Avatar


Kalanki Avatar - I

2032, India

Bharat ke har kone se ek ke baad ek Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to OB vains kam pad gayee har murder ki coverage dikhane ke liye. Police, Prasashan Sabhi samajh nahi paa rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me uche avadho par baithe afsaro ki tadat kam hoti ja rahi thee. Marane walo me Politicians, Gangstars, Government officers, Business Men bhari matra me the.



Kalanki Avatar - II

2013, India

Bharat ki sabse badi party Congress(I) har morche par fail ho rahi thee. Bharat me charo taraf aarajkta aur Ashanti ka mahol tha. Berojgari aur garibi badh rahee thee. Mahangai thamnae ka naam nahi le rahi thee aur aam janta CONGRESS(I) se trast ho chuki thee. Pradhanmantri Sahab kisi bhi kaam ke na the aur garibi bhukhmari se crime ke graph upar badhta ja raha tha.



Kalanki Avatar - III



2014,India

2014 me Bharat ke aam chunav huye. Bharat ke aam chunav me Kamal Ram ek bahut bade neta ban kar ubhare. Rashtriya Hindu Party sabse jyada seato bar jeet kar aayi thee. RHP ne Kamal Ram ko apne Pradhanmantri pad ka ummid war ghoshit kiya. Gathbandhan ki rajniti me Kamal Ram ke liye ek mat banana jaruri tha. Kamal Ram khud eas kaam me lage aur unhe Bahumat mil gaya.



Kalanki Avatar - IV

2032, India

Kamal Ram ke upar huye hamale me vo buri tarah ghayal ho gaye. Hamala karane walo ko Kamal Ram ke bodyguards ne vahi dher kar diya. Kamal Ram ko Delhi ke sabse bade hospital me dakhil kiya gaya. Doctoro ne Kamal Ram ke halat kafi nazuk batai aur unka operation shuru kar diya. Kamal Ram ke body me se kul 15 bullets bahar nikali Gayee par Doctor Kamal Ram ko bachane me asafal rahe.



Kalanki Avatar - V

2032, India

Kamal Ram ki mrityu ke do mahine me hee Bharat ki dasha aur disha sab kuchh badalane lagi. Charo taraf ka mahol bigadane laga. Charo taraf afra tafri ka mahol tha. Shasan kisi bhi tarah ki rahat pahuchane me nakam tha. Rashtriya Hindu Party ka har neta Pradhanmantri banana chahta tha aur desh me ho rahi ghantano ki taraf dhyan na dekar rajnitik jod tod me laga tha.



To be Continued.......

Saturday, 5 October 2013

Kalanki Avatar - V



2032, India



Kamal Ram ki mrityu ke do mahine me hee Bharat ki dasha aur
disha sab kuchh badalane lagi. Charo taraf ka mahol bigadane laga. Charo taraf
afra tafri ka mahol tha. Shasan kisi bhi tarah ki rahat pahuchane me nakam tha.
Rashtriya Hindu Party ka har neta Pradhanmantri banana chahta tha aur desh me
ho rahi ghantano ki taraf dhyan na dekar rajnitik jod tod me laga tha.





Anti Social activities badhane lagi, criminal graph phir se
upar chadhane laga. Achanak se Bharat phir 2013 ke mahol me pahuch gaya tha.
Gangwar, robbery, murder phir se News papers ki headlines ban gaye the. Police aur
sabhi sarkari tantra fail ho rahe the. Political leaders eas situation ka
phayada lena chahate the easliye unhe eas kat maar me maza aa raha tha.





Aam aadmi ek bar phir apne aap ko unsafe mahesus kar raha
tha. Sadak par chalna ab mushkil tha. Har kadam par dark a mahol tha. Kamal Ram
ke marane ke kuchh hee mahino me aisee halat hogi aisa kisi ne kalpana bhi nahi
ki thee. Aam aadmi phir se masiha ki talash me tha. Aam Aadmi ki jindagi jangal
ke janwar ki tarah thee, jise pata nahi tha kisi or se kab koi janali prani
aakar unka shikar kar lega.





Aur phir





Bharat ke har kone se ek ke baad ek
 Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to OB vains kam pad gayee har
murder ki coverage dikhane ke liye. Police, Prasashan Sabhi samajh nahi paa
rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me bade avadho par baithe afsaro ki
tadat kam hoti ja rahi thee. Har taraf Politicians, Gangstars, Government
officers, Business Men mar rahe the.




Shayad se Aam Aadmi ka masiha aa chukka tha.




Thursday, 26 September 2013

Kalanki Avatar - III



2014,India





2014 me Bharat ke aam chunav huye. Bharat ke aam chunav me
Kamal Ram ek bahut bade neta ban kar ubhare. Rashtriya Hindu Party sabse jyada
seato bar jeet kar aayi thee. RHP ne Kamal Ram ko apne Pradhanmantri pad ka
ummid war ghoshit kiya. Gathbandhan ki rajniti me Kamal Ram ke liye ek mat
banana jaruri tha. Kamal Ram khud eas kaam me lage aur unhe Bahumat mil gaya.





Kamal Ram ka janm Maharashtra ke chhote se Gaon Kankvali me
hua tha. Kamal Ram ke teen bhai aur do bahen thi. Kamal Ram ke pita ek school
me accountant the. Kamal Ram ne apani padhai ke saath RHP ki yuva sanghtan me
bhag lena shuru kiya. Apni mehnat aur samjhdari se Kamal Ram RHP me apani paith
banate gaye aur ek bade neta ban gaye.





Kamal Ram ki kaptani me RHP ne pahali bar apani sarkar
banai. Kamal Ram ko ek tanashah neta mana jata tha. Parantu unke Pradhanmantri
banate hee jaise Bharat ka bhagya badal gaya. Crime Graph niche jane laga,
Berojgari kam hone lagi, chhote chhote laghu udyog panapane lage aur dekhate
hee dekhate charo tarah sukh aur samridi chha hayi.





Scam dhire dhire kam ho rahe the aur yu kahe ki khatam ho
gaye the, parantu Kamal Ram ke PM banane se pahele jitane bhi neta ghotalo me
shamil the vo apane paiso aur naam ke bal par aajad ho gaye. Jin netao ne
Bharat aur Bharat ke logo ko chus chus ka kamjor kar diya tha vo khule aam
aazad ghum rahe the. Kamal Ram ne sabhi gunahgaro ko jail bhejane ka pura
prayas kiya parantu sabut ki kami se unhe safalta nahi Mili.





2014 se 2032 tak Kamal Ram Bharat ke Pradhanmantri the.
Kamal Ram ke Netratav me Bharat ne Nayi safaltaye hasil ki. Mumbai jaise sahar
me jahan Motor caro se tej insaan sadak par chalate the vaha ab traffic dur dur
tak nahi dikhata tha. Public transport bahut hee badhiya ho gaya tha aur bhid
bhad ab purana sapna ho gaya tha. Bharat ab khud self defense ke equipment
banata tha. Bharat ek Vikasshil desh se  Vikasit
desh ban gaya tha.




Sab Kuchh sahi chal rah tha parantu tabhi ek din Kamal Ram ki
ek sabha me unpar hamala ho gaya.




To be continued.............


Wednesday, 25 September 2013

Kalanki Avatar - II



2013, India





Bharat ki sabse badi party Congress(I) har morche par fail
ho rahi thee. Bharat me charo taraf aarajkta aur Ashanti ka mahol tha. Berojgari aur garibi badh rahee thee. Mahangai thamnae ka naam nahi le rahi thee aur aam janta
CONGRESS(I) se trast ho chuki thee. Pradhanmantri Sahab kisi bhi kaam ke na the
aur garibi bhukhmari se crime ke graph upar badhta ja raha tha.





Bharat ke logo ka Political parties aur unke Netao se bharosa
uath gaya tha. Har aaye din kisi na kisi neta ka naam scam me aa raha tha.
Hajar Karod achanak se rupya do rupya lagane lage the. Jab bhi tv kholo to News
reporter kisi na kisi Neta ki pol kholate dikhate the. Media wale apna kaam jor
shor se kar rahe the aur bharat ke eas 4th pillar ne Janta me thodi ummeed
bacha ke rakhi thee.





Balatakar





Balatakar





Balatakar





Balatakar





Crime graph ke upar chadhane me sabse bada haath jis crime
ka tha vo tha Balatakar. Janta ke man se Police aur Kanoon ka dar khatam ho
raha tha. Anti Social elements apni manmani kar rahe the aur Balatakar apni
charam seema par tha. Shayad se Bharat ke Etihaas me sabse jyada Balatakar eas
samay par hee huye the. Ladkiyo aur Mahilao ke jeena mushkil ho gaya tha aur
sarkar abhi laachar thi.





Balatakar ke badhate mamlo se janta aur trast hoti ja rahi
thee. Social workers aur NGO India Gate, Gate way of India aur bade bade
chaupalo par sarkar ka virodh aur dharna pradarshan kar rahe the. Police ka
raviya thoda tough hua tha parantu crime graph niche aane ka naam nahi le raha
tha. Sarkar kaun chala raha tha eas baat ka pata kisi ko nahi tha.




Logo ka manana tha ki sarkar Italy se chal rahi hai aur
Dilli to sirf naam ke liye Bharat ki Rajdhani hai. Sarkari aur Police tantra
fail ho gaya tha. Army ne aakar bharat ki kanoon vyshta ko sambhala aur dhire
dhire halat kabu me aa gaye. Ab janta Parivartan chahati thee aur 2014 ke
chunav najdik aa rahe the. Eas bar logo ne Congress(I) ko satta se bahar faikane
ka man bana liya tha.




To be continued


Monday, 23 September 2013

Kalanki Avatar - I



2032, India





Bharat ke har kone se ek ke baad ek  Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to
OB vains kam pad gayee har murder ki coverage dikhane ke liye. Police,
Prasashan Sabhi samajh nahi paa rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me
uche avadho par baithe afsaro ki tadat kam hoti ja rahi thee. Marane walo me
Politicians, Gangstars, Government officers, Business Men bhari matra me the.





Charo Taraf chal rahe High profile muder se jaha Prasashan
me afra tafri machi thee vahee dusari taraf Janta me khushi ki laher daud rahee
thee. Janta ye samajh gayee thee ki murder karane wala koi masiha hai kyonki
marne wale sabhi logo ke upar kisi na kisi prakar ka aarop tha. Bade high
profile cases me involve sabhi logo me khuaf ka mahaol tha.





Police, CBI, IB, Army Intelligence sabhi puri tarah se
Murder mystery solve karane me lage the. Intial report ke anushar ye kisi bahut
hee high profile gang ka kaam hai jo technology me advance hai. Prasashan ko
kisi bhi crime scene se se koi bhi sabut nahi mila, crime scene pe lage cctv
cameras me koi bhi activity kaid nahi hui thee.





Naam?





Apradhi?





Kaun?




People started calling the murder God. Parantu pichhale
kuchh dino me rape, murder aur chori ki ek bhi mamale samane nahi aaye the.
Shayad logo ko ye samjh aa gaya tha ki agar ham koi galat kaam karenge to
marane walo ki list me hamara bhi shumaar ho jayega. Police sutro ke anushhar
abhi tak chhote bade logo ko milakar 3745 log mare ja chuke the aur sabhi
marane walo ke upar court me case chal raha tha.



Thursday, 25 July 2013

Barish Ka Intzaar – II


Badal Zor Zor Se Garjane Lage !! Badalo Ki Garjana Sunkar Sabhi Log Ghar Se Bahar Aa Gaye, Aakhir Eas Din Ka Pura Gaon Besabri Se Intzaar Kar Raha Tha. Badal Garjane Ke Saath Barsane Lage Aur Charo Taraf Pani Ki Bauchhar Ho Rahi Thi. Meetti Ki Sondhi Khushabu Charo Taraf Se Aa Rahi Thi. Gaon Wale Barish Mai Bheeg Kar Barish Ka Maza Le Rahe The. 





Barish Ne Charo Taraf Aanand Ka Mahol Bana Diya. Gaon Ke Chhote Chhote Bachhe Aake Pokhro Mai Tairane lage. Ek Taraf Mor Apane Nritya Dikha Raha Tha Aur Dusari Taraf Medhak Gana Ga Rahe The, Zharne Se Zhar – Zhar Ki Aawaz Ke Saath Pani Aapni Rah Bana Raha Tha. Barish Ne Pine Ke Pani Ki Samsya Ko Hal Kar Diya. Aab Pure Gaon Ke Paas Pani Tha Par Khane Ki Killat Abhi Bhi Thi. Pana Tomar Ne Rasan Ka Maal Hajam Kar Liya Tha Aur Logo Ko Barish Na Hone Ki Duhai Dekar Dukan Se Lauta Raha Tha.


 


Barish Lagaatar Ho Rahi Thi. Khet  Pani Se Bhare The. Ab Dhan Ki Buvaai Ka Samay Aa Gaya Tha. Dattu Apani Maa Ke Sath Khet Mai Dhan Ke Behan Leke Pahuch Gaya. Maa Aur Bete Ne Ek Din Me Pure Khet Me Dhan Ke Behan Rop Diye. Barish Eas Tarah Se Hoti Rahi To Eas Saal Dhan Ki Fasal Kafi Achchi Hone Wali Thi. Pahad Pe Charo Taraf Hariyali Thi Aur Pedo Par Phal Ki Bharmaar Thi. Pahado Pe Kai Phal Aise Hote Hai Jo Barish Ka Pani Padane Ke Baad Hee Pakte hai.





Dattu Ke Pass Sadhe Tinsau Ped The Jisape Tarah – Tarah Ke Phal Lagate The. Aab Phal Todkar Beche Bhi Jate Aur Khaye Bhi Jaate. Aaj Jab Insaan Chand Par Jaa Pahucha, Hamare Bharat Me Kai Aise Gaon Hao Jo Barish Ke Upar Puri Tarah Se Nirbhar Hai. Barish Se Hee Unka Jeevan Chalta Hai Aur Bina Barish Ke Unki Jindagi Tham Jaati Hai. Barish Dev Me Dev Hai.





Musladhaar Barish Ek Saptah Tak Hui Aur Phir Ruk Gayi.


Saturday, 8 June 2013

Chudail Ki Kahani - Ghungaru

Maine apne saath biti raat ki ghatna ko apne dosto ko bataya aur sab dost jor jor se hasne lage. Ham sabhi dost milkar ek dusare ke saath sabhi ghatnao ka jikra karne lage. Parmesh ne bataya ki use aaj bhi Chudail ke payal ki aawaj sunai deti hai. Vo Jab kabhi raat ko bedroom ki khidaki ke pass baithkar padhai karta tha tab aadhi raat ke baad achnak se chhan-chhan ki aawaj aane lagti thee.

Ham logo ne Parmesh ko kahani detail me batane ke liye kaha. Parmesh ne kaha ye kahani badi lambi hai. Ham logo ne kaha lambi hai to kya hua to shuru ho jaa. Parmesh ne kahani shuru kar dee. Baat uas samay ki hai jab class 10 me tha. Class 10 board ke exam thee to mai roz raat ko der tak padhai karta tha. Mumbai ke sabse behtarin college me dakhile ke liye padhai bahut jaruri thee.

Board Exam shur hone par mai kafi der raat tak padhane laga. Ek din mai padhai kar raha tha aue maine achnak se bedroom ki khidaki khol dee. Uas samay raat ke koi 2 baj rahe the. khidaki khulane par sirf saayn saayn hawa chalane ki aawaj aa rahee thee, ki achanak mere kaan me chha-chhan ke aawaj padi. Maine pahele to aawaj par dhyan nahi diya par aawaj band nahi ho rahee thee.

Maine khidaki se charo taraf dekh to koi nahi dikha. Mai thoda dar gaya aur jhat se khidaki band karke ke aapne bistar par jaakar so gaya. Raat bhar mujhe neend nahi aayee aur subah uthkar mai school chala gaya. School se lautane ke baad mai Bahadur ke pass gaya. Bahadur hamari building me pichhale 12 saal se watchman hai. Maine kaha Bahadur eas building me kabhi kuchh hua tha kya.

Bahadur ne mera sawal sunate hee kaha, kuchh hua tha ka kya matlab. Maine bahadur se kaha ki kabhi yaha koi bhut pret ke saaye ka jikra hua hai. Bahdur ne kaha maine to aaj tak koi bhut pret ke baare me nahi suna. Haa, lekin kuchh saal pahele yaha ek married couple rahata tha. Dono ki nayi - nayi shadi hui thee. Pahele kuchh mahine to sab kuchh normal tha lekin baad me dono ka aapas me roz jhagda hota tha.

Maine tak - taki lagakar Bahadur ki baat sun raha tha. Bahadur ne kaha ki unke beech ke jhagade badhte gaye aur ek din Madam ne apne ghungaru ke payal ki rassi bana kar aatm hatya kar lee. Madam kathak nrity karti thee to usane apni jaan bhi apne ghungaru ke saath de dee. Bahadur aage kuchh bolta ki maa ne mujhe upar se aawaj dekar ghar par aane ko kaha aur mai ghar chala gaya.

Raat ko jab mai padhane baitha tab maine har tuti hui kadi ko jodna chalu kiya. Mere hisab se ye vohi dancer ladki ki aatma hai jo raat ko pareshan hokar ghumati hai. Maine apni dusari taraf rahene wale Manek se bhi eas baat ka jikra kiya tha par usane kaha ki usake bedroom me to koi aawaz nahi aati. Raat ko padhate padhte maine phir se khidaki kholi aur chhan chhan ki aawaj mere kano me gujane lagi.

Mera dhyaan achnak se Emali ke ped ki taraf gaya. Jab maine aawaj par kafi dhyaan diya to mujhe ye confirmation ho gaya tha ki ho na ho Chudail eas ped par raheti hai aur shayad se eas liye sirf mujhe hee usake payal ki aawaz sunai deti hai. Maine man hee man socha ki vo mujhse kya chahati hai aur sote sote so gaya. Agale din raviwar tha to mai uath kar sidhe khelane chala gaya.

Khel ke maidan se aane ke baad maine uas ped par chadkar chudail ka baser dhundhane ki thaan lee. Mai turan ped ke sabe se upar hisse par pahuch gaya. Vaha se main apni nigahe charo taraf daudai aur achaanak mera dhyan ped ki dal ki taraf gaya jo aur daliyo se chhupi thee. Maine vaha par bachoo ke khilaone wale ghungaru ki mala dikhi. Mai Chudail ki sachhai jaan chuka tha.

Mai Ghungaru uthakr ghar le aaya. Phir kabhi maine chudail ke ghungaru ki aawaj nahi suni.

Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay

Tuesday, 4 June 2013

धुँआवाला

Yashwant baki bachho ke saath maidan me khel raha
tha. achanak se sabhi bachhe chillane lage धुँआवाला  धुँआवाला. Har koi
galli ki taraf bhagane lage par धुँआवाला kahi nazar nahi aa raha tha.
धुँआवाला ki machine ki aawaj dur se hee sunai de rahee thee. Sabhi
Bachhe धुँआवाला ke धुंवे me khelna chahate the. jab bhi धुँआवाला gali se
gujarta bachhe usake pichhe pichhe धुंवे में uchal kud machate the.

धुँआवाला
- Mumbai me machharo ka prakop badh gaya tha to isliye machharo se hone
wali bimaree ko rokane ke liye BMC ki taraf se ek banda fogging ka pump
le aata aur usame machhar marane wali dawa dala ke use धुंवे ke rup me
charo taraf phailata. Pahele to bachhe धुँआवाला se darate the par dhire
dhire vo धुंवे ki khushbu me usaki ujali parchhyee me khelane lage.

धुँआवाला
achnak se dikha aur Yashwant ke saath baki bachhe uas gali me pahunch
gaye jaha se धुँआवाला aa raha tha. Ab sabhi bachhe धुँआवाला ke pichhe
laga gaye. Uchala kud, dhmal chukadi, bachhe ek dusare ke upar kudate
aur yaha vaha marke bhag jaate, mazzak me bachhe ek dusare ki chaddhi
utarte aur bhag jaate. धुँआवाला bhi bachho se tang ho jata tha par use
uska kaam karna padta tha.

Yashwant shaam tak ghar nahi aaya.
Yashwant ke gharwalo ne usaki talash karane lage. Bachho se puchane par
pata chala ki use last bar धुँआवाला ke pichhe daudate dekha gaya tha.
usake baad kisi bhi bachhe ne use nahi dekha. Yashwant ke gharwale
police station me jakar report kar aaye. Bachhe phir se jab धुँआवाला aata to
usake pichhe daudane lagate aur dhamal machate.

Yashwant ka phir
kabhi pata nahi chala. Bharat me har saal hazaro bachhe es tarah gayab
ho jate hai aur unka phir kabhi pata nahi chalta hai.





Doing Kamaal, 


Kamal Upadhyay

Tuesday, 21 May 2013

Mera Sher - Ferrari

Dadaji van vibhag me kaam karte the. Dadaji ke retirement
ke baad vo jungle ke bahar hee makan bana ke rahane lage. Pitajee, Mai aur Maa
Dadaji ke sath hee rahate the. Pitajee pass hee ke ek school me teacher the aur
Maa ghar grihasti ka kaam dekhati thee. Dadaji bhi din bhar yaha vaha jungalo
me ghumate aur sham ko kuchh na kuchh naye nusake jungle se le aate.






Dadaji shikari nahi the par jab kabhi shahar se bade amir
logo ka kafila shikar khelane aata, vo Dadaji ko apne sath le jate kyonki
Dadaji jungle ke har ek kone ko jante the. 
Dadaji batate the ki jungle me hone wale in shikari khelo me khane pine
ka intzaam bahut badhiya hota tha. Shahri logo yaha jungle me masum janwaro ko
marke apna jee bahalate the.





Garmi ke din chal rahe the aur Dadaji ko ek din ek shikar me
chalane ka newta aaya. Dadaji ne apni shari taiyaree kar lee. Eas bar unhe
Shikariyo ko Sher tak pahuchana tha. Sher ka shikar bahut kam hee log karane
aate the. Sahari log aksar Heeran ko hee mar ke khana pasand karte the. Sher ka
shikar aasan nahi tha. Par Dadaji ko ye baat pata thee ki Sher kaha milega.





Dadaji shikariyo ke sath uas jagah pahuch gaye jaha sher
hamesh ghumate rahate the. Shikari bhi apni banduk me goli bhar ke taiyaar the
aur sher ko dekhate hee firing chalu kar dee. Goli – bari me shikariyo ne do
sher mare aur baki sher jaan bachakar bhag gaye. Shikari mare shero ko utha
kar apne tent ke taraf chal diye. Dadaji ka dhyan achanak se ek jhadi ki taraf
gaya aur Dadaji jab vaha pahuche to jhat ek chhota janwar unke upar jhpat pada.





Dadaji niche gir pade. Dadaji ke niche girate hee vo janwar
Dadaji ke pair chatane laga. Dadaji ne jaise hee uas Janwar ko dekha vo bhor
vimugdha ho gaye. Ek chhota sher ka bachha Dadaji ke pass tha. Dadaji jungle me
use akela nahi chhoda sakate the. Akela chhodane par shikari ya phir jungli janwar ek din me uska kaam tamaam kar dete.





Dadaji sher ke bachhe ko apne thaile me bhara aur ghar ki
taraf chal diya. Ghar pahuchate hee unhone mujhe bulaya aur kaha ghar me se
dudh lekar aa. Mai jhat se andar gaya aur Dudh lekar bahar aa gaya. Dadaji ne
Thaile me se chhote sher ko nikala aur dudh pilane lage. Sher ka bachha bada
hee pyara tha aur billi jaisa dikhta tha.





Hamane Sher ke bachhe ka naam Ferrari raka. Kyonki  jab Ferrari bhagta tha tab motorcar bhi use
hara nahi sakti thee. Ferrari ki uchal kud aur mera bachpan bahut hee majedar
gujara raha tha. Ferrari ab dhire dhire bada hone laga aur dudh chhodkar
maans-matan khane laga. Ferrari raat ko murgiyo ke dadbe se murgiya marker
khaa jata tha.





Ferrari ki mastiya dhire dhire aur badhane lagi. Ferrrai
kabhi insaano ko chot nahi pahuchata tha par yaha vaha logo ke paltu janwar mar
ke khata raheta tha. Ferrari ki harkato se tang aakar Dadaji ne use Pizade me
band karna shuru kar diya aur shaam ke waqt Ferrari ko apne saath ghumane le jaate
the. Par vo samjhte the ki ab Ferrari ko jyda din saath rakhna sanbhav nahi
hai.





Ek Din Dadaji ne Ferrari ko jungle me chhodane ka nirnay
liya parantu ye sochkar dar gaye ki jungle me use shikari jaane se mar
denge.  Dadaji ne Ferrari ko Gir ke abhayaran me chhodane ka man bana liya. Abhyaran ke officero se baat karane ke
baad vo ek din ghar se ek truck me nikale aur Gir me jakar Ferrari ko chhod
aaya. Dadaji ne dekha ki vaha aur bhi sher hai to Ferrari vaha pahuch kar khush
ho gaya tha.





Ek din Dadaji shaam ke waqt Ghum rahe the ki achanak se ek
sher samane aa gaya. Dadaji ne use dekhate hee pahchan liya aur Ferrari ko ghar
le aaye. Dadaji abhi bhi hairat  me the
ki Ferrari itana dur kaise chala aaya. Parantu use apne pass dekh kar vo sab
kuchh bhul gaye the. Dadaji Ferrari ko ghar le aaye. Aur usake saath baith kar
khana khaya.





Dadaji ne aaj Ferrari ko kaid me nahi dala aur use apne
kamare me lekar chale gaye. Dusare din subah ke das baj rahe the Dadaji ka
kamara abhi bhi band tha. Pitajee jab darwaze ke karib pahuch kar do char bar
kundi bajayee to darwaza andar se khul gaya. Dadaji ek taraf lete pade the aur
Ferrari ka kahi ata pata nahi tha.





Dadaji ko hospitale le jane se pahele hee unki maut ho chuki
thee. Dadaji Ferrari se bahut pyaar karate the shayad eas liye Ferrari antim
bar unse milane aaya tha. Nahi to itanee dur Gir ke abhyaran se ghar take ek
sher ke liye aana mushkil tha. Dadaji aur Ferrari ka lagav hee Ferrari ko shayad Dadaji ke pass khich laya tha aur Dadaji se milane ke baad vo phir khai
gum ho gaya.





Doing Kamaal, 
Kamal Upadhyay

Monday, 29 April 2013

बच्चे की बदलती तस्वीर - I


सोनिया एक माल में काम करती थी और उसका 8
साल का बेटा तिसरी क्लास में पढता था। सोनिया की शादी बहुत ही कम उम्र में
हो गयी थी। शादी के एक साल बाद सोनिया का पति उसे छोड़ कर चला गया, उस
समय सोनिया गर्भवति थी। सोनिया के पति के जाने के चार महीने बाद संदूप का
जन्म हुआ। बचपन की किलकारियों से सोनिया का घर गुजने लगा जिसमे
चार महीने
से सोनिया किसी तरह अकेले जी रही थी।




सोनिया रोज़ सुबह संदूप को तैय्यार करती और उसे स्कूल छोड़ने के बाद खुद
काम पर चली जाती। माल में दिन भर थक-कर जब सोनिया घर आती तो संदूप को गले
लगाते ही उसकी सारी थकान दूर हो जाती थी। माँ - बेटे का रिश्ता बहुत ही
प्यार था। सोनिया संदूप को जान से ज्यादा प्यार करती थी। माँ बेटे के ईसी
प्यार के कारण सोनिया
ने अपनी दूसरी शादी नहीं की। 18 की उम्र में सोनिया को
बेटा पैदा हुआ और
अभी पूरी जिंदगी जीना बाकी था सोनिया के लिए।



सोनिया और संदूप ने मिलकर रविवार के दिन सिनेमा जाने का प्लान बनाया।
संदूप सिनेमा जाने के लिए बहुत खुश था। रविवार के दिन सुबह उठकर माँ और
बेटे तैयार हो गए। घर से बाहर निकलनेवाले ही थे की अचानक फ़ोन की घंटी बजी
"ट्रिंग ट्रिंग ---- ट्रींग ट्रींग" सोनिया ने फ़ोन उठाया और फिर ठीक है
बोलकर फ़ोन निचे रख दिया। सोनिया गंभीर हो गयी तो बेटे ने माँ के मन को
तुरंत भांप लिया। सोनिया ने कहा बेटा अचानक से कुछ जरूरी काम आ गया है तो
मुझे जाना होगा। सोनिया ने ख्याल रखना बोलकर दरवाज़ा बंद किया और काम पर चली
गयी।




सोनिया थककर शाम को जब घर आई तो घर पर सन्नाटा था। सोनिया को लगा की
शायद नाराज होकर संदूप सो गया है। सोनिया दौड़ते हुए संदूप के कमरे में गयी
परन्तु संदूप वहा नहीं था। सोनिया कुछ परेशान हुई और घर से दौड़ते बाहर आयी
और पड़ोस के घरो में जाकर उसे ढूंढ़ने लगी। संदूप
का कही अता-पता नहीं था।
सोनिया ने पुलिस को फ़ोन करके रिपोर्ट लिखाना चाही तो पुलिस ने साफ़ मन
करदिया। पुलिस के अनुसार लापता होने की रिपोर्ट आप 24 घंटे के बाद ही लिखा
सकते है।




रात कट गयी और सुबह सोनिया ने फिर से पुलिस को फ़ोन किया। 24घंटे से
जयादा समय बीत चूका था। पुलिस ने सोनिया के घर का पता नोट किया और कुछ ही
मिनटों में सोनिया के घर पहुँच गयी। सोनिया ने पुलिस को रविवार की सारी
घटना बतायी। पुलिस ने सोनिया से संदूप की फोटो मांगी और कद काठी का ब्यौरा
लेकर चली गयी। सोनिया पुरे दिन घर के इस कमरे से उस कमरे में घूमकर रोती
रही। दिन जैसे
बितने का नाम ही नहीं ले रहा था।



अगले दिन सुबह फ़ोन की घंटी फिर बजी "ट्रिंग ट्रिंग ---- ट्रींग ट्रींग".
सोनिया ने दौड़कर फ़ोन उठाया और दुसरे तरफ से दरोगा साहब ने कहा आप पुलिस
स्टेशन आ जाओ और इतना
कह कर झट से फ़ोन रख दिया। सोनिया झट से तैय्यार होकर
पुलिस स्टेशन पहुच गयी। दरोगा साहब पुलिस स्टेशन में नहीं थे। सोनिया ने एक
हवलदार से संदूप के बारे में पूछा पर उसे कुछ भी नहीं पता था। सोनिया एक
कोने में बैठकर दरोगा साहब का इंतज़ार करने लगी।




दरोगा साहब की गाड़ी पुलिस स्टेशन के बाहर आकर रुकी। सोनिया झटपट अपने
जगह से उठी और दरोगा साहब की तरफ चल दी। दरोगा साहब ने सोनिया को आते देखा
तो थोडा गंभीर हो गए। सोनिया ने पूछा कुछ पता चला मेरे बेटे का, दरोगा साहब
शांत थे। सोनिया ने फिर पूछा कुछ पता चला मेरे बेटे का और इस बार दरोगा
साहब ने जवाब दिया हा। सोनिया ने कहा जल्दी से बताओ मेरा बेटा कहा है। मुझे
अपने बेटे से मिलना है। दरोगा साहब चुप खड़े थे।




दरोगा साहब ने सोनिया को गाड़ी की तरफ चलने के इशारा किया। सोनिया गाड़ी
में आकर पीछे की सीट पर बैठ गयी। दरोगा साहब गाड़ी में बैठे और गाड़ी चालू हो
गयी। गाड़ी में एक दम सन्नाटा था। ठंड कड़ाके की थी इसलिए रोड पर ज्यादा
भीड़-भाड़ नहीं थी। कुछ दस मिनट के बाद गाड़ी रुक गयी। दरोगा साहब ने सोनिया
को उतरने के लिए कहा। सोनिया जैसे ही बाहर आयी उसने देखा की वो एक हॉस्पिटल
के बाहर खड़ी थी। उसने दरोगा साहब से पूछा ठीक तो है ना मेरा बेटा।




दरोगा साहब सोनिया को लेकर शव कक्ष के यहाँ पहुचे। सोनिया ने शव कक्ष
के अन्दर जाने से इनकार कर दिया। दरोगा साहब ने सोनिया से कहा की हमें एक
लड़के की लाश बहुत ही बुरी हालत में मिली है। लाश की पहचान करना मुश्किल है
परन्तु उसके कपडे संदूप के कपड़ो से मिलते है जो उसने लापता होने की दिन
पहेने थे। लाश के गले में जो लॉकेट मिला उस में दिल के आकर पर S लिखा था।
जैसा की सोनिया के अनुसार संदूप के गले में था। सोनिया ने लाख समझाने पर भी
शिनाख्त नहीं की और घर चली गयी।



पुलिस ने संदूप का पंचनामा करके उसे मृत घोषित कर दिया और पुलिस ने इस
लापता केस को आपनी फाइल के अन्दर कही एक पन्ने पर दफ्न कर दिया।




Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay




Keep reading will post part two very soon. 

Thursday, 7 March 2013

Bachhe Kee Badlatee Tasveer – I


Soniya Ek Maal Me Kaam Karti Thee Aur Uska 8 Saal Ka Beta
Tisaree Classs Me Padhta Tha. Soniya Kee Shadee Bahut Hee Kam Umra Me Ho Gayee
Thee. Shadee Ke Ek Saal Baad Uska Pati Use Chhod Kar Chala Gaya, Uas Samay
Soniya Garbhvati Thee. Soniya Ke Pati Ke Jaane Ke Chaar Mahine Baad Sandup Ka
Janm Hua. Bachhe Ki Kilkariyo Se Soniya Ka Ghar Gujane Laga Jisame Chaar Mahine
Se Soniya Kisi Tarah Akele Jee Rahee Thee. 





Soniya Roj Subah Sandup Ko Taiyar Karke School Chhodti Aur
Vaha Se Kaam Chali Jaati. Mall Se Din Bhar Thak Kar Jab Soniya Ghar Aati To
Aapne Bete Ko Gale Lagane Ke Baad Uskee Saree Thakan Dur Ho Jatee. Ma Aur Bete
Ka Rishta Bahut Hee Pyaara Tha. Soniya Sandup Ko Jaane Se Jyda Pyar Karti Thee.
Ma Bete Ke Esi Pyaar Ke Karan Soniya Ne Dusaree Shadee Nahi Ki.  18 Saal Ki Umra Me Sandup Ka Janm Hua Tha Aur
Soniya Ko Aapni Puri Jindagi Bete Ke Sahare Hee Jeena Tha.





Soniya Aur Sandup Ne Milkar Ravivaar Ke Din Cinema Jane Ka
Plan Banaya. Sandup Cinema Jane Ke Liye Bahut Khush Tha. Ravivar Ke Din Subah
Uthkar Ma Aur Bete Dono Taiyar Ho Gaye. Ghar Se Bahar Nikalne Wale Hee The Ki
Achnak Se Phone Ki Ghanti Bajee “Tring-Tring ---- Treeng Treeng” Soniya Ne
Phone Uthaya Aur Phir Theek Hai Bolkar Phone Neeche Rakh Diya. Soniya Ganbhir
Ho Gayee To Bete Ne Ma Ke Man Ko Turant Bhaanp Liya. Soniya Ne Kaha Beta
Achanak Se Mujhe Kuchh Jaruri Kaam Aa Gaya Hai To Mujhe Jana Hoga. Soniya Ne
Khyal Rakhna Bolkar Darwaza Band Kiya Aur Kaam Par Chali Gayi.





Soniya Thak Kar Shaam Ko Jab Ghar Aayi To Ghar Par Sannat
Tha. Soniya Ko Laga Ki Shayad Naraj Hokar Sandup So Gaya Hai. Soniya Daudate
Huye Sandup Ke Kamare Me Gayi Par Vo Vaha Nahi Tha. Soniya Kuchh Pareshan Hui
Aur Daudate Hue Ghar Se Bahar Aa Gayi Aur Pados Ke Gharo Me Jakar Apne Bete Ko
Dhundhane Lagee. Sandup Ka Kahi Ata Pata Nahi Tha. Soniya Ne Police Ko Phone
Karake Report Likhana Chahi To Police Ne Saph Mana Kar Diya. Police Ke Anushar
Lapta Hone Ki Report Aap 24 Ghante Ke Baad Hee Likhs Sakta Hai.





Raat Kat Gayi Aur Subah Soniya Ne Phir Se Police Ko Phone
Kiya. 24 Ghant Se Jyada Ka Samay Beet Chuka Tha To Eas Baar Police Ko Report
Likhani Padi. Police Ne Soniya Ke Ghar Ka Pata Note Kiya Aur Kuchh Hee Minato Me
Usake Yaha pahuch Gayi. Soniya Ne Police Ko Ravivar Ki Sari Ghatnaye Batayee.
Police Ne Soniya Se Sandup Ki Photo Mangi Aur Usake Kad-Kathi Ka Byora Lekar
Chali Gayi. Soniya Pure Din Eas Kamare Se Us Kamare Me Ghoomkar Rote Rahi Aur
Din Jaise Katne Ka Naam Nahi Le Raha Tha.





Agale Din Subah Phone Ki Ghantee Phir Bajee “Tring Tring
-----Treeng Treeng” Soniya Ne Daudkar Phone Uthaya Aur Dusare Taraf Se Daroga
Sahab Ne Kaha Aap Police Station Aa Jao, Soniya Kuchh Bolti Esase Pahele Daroga
Sahab Ne Phone Rakh Diya. Soniya Jhat Se Taiyyar Hokar Police Station Pahuch
Gayi. Daroga Sahab Police Station Me Nahi The. Soniya Ne Ek Hawldar Se Sandup
Ke Bare Me Puchha Par Use Kuchh Bhi Nahi Pata Tha. Soniya Ek Kone Me Baithkar
Daroga Sahab Ka Intzaar Karne Lagi.





Daroga Sahab Ki Gadi Police Station Ke Bahar Aakar Ruki.
Soniya Jhatpat Apne Jagah Se Uthi Aur Daroga Sahab Ki Taraf Chal DI. Daroga
Sahab Ne Soniya Ko Aate Dekha To Thoda Ganbhir Ho Gaye. Soniya Ne Puchha Kuchh
Pata Chala Mere Bete Ka, Daroga Sahab Shant Khade The. Soniya Ne Phir Puchha
Kuchh Pata Chala Mere Bete Ka To Daroga Sahab Ne Kaha, Ha. Soniya Ne Kaha Jaldi
Se Batao Mera Beta Kaha Hai. Mujhe Aapne Bete Se Milna Hai. Daroga Sahab Chup
Khade The.





Daroga Sahab Ne Soniya Ko Gadi Ki Taraf Chalane Ka Ishara
Kiya. Soniya Gadi Me Aakar Pichhe Ki Taraf Baith Gayee. Daroga Sahab Gadi Me
Baithe Aur Gadi Chalu Ho Gayi. Gadi Me Ek Dam Sannata Tha. Thand Kadake Kee
Thee Easliye Rod Par Bhi Jyda Bheed Nahi Thee. Das Minat Ke Baad Gadi Ek Jagah
Ruk Gayi. Daroga Sahab Ne Soniya Ko Gadi Se Utarne Ke Liye Kaha. Soniya Jaise
Hee Gadi Se Bahar Aayi, Usane Dekha Ki Vo Ek Hospital Ke Samane Khadi Hai.
Soniya Ne Daroga Sahab Se Puchh, Thik To Hai Mera Beta.





Daroga Sahab Soniya Ko Lekar Shav Kaksh Ke Yaha Pahuche.
Soniya Ne Shav Kaksh Ke Andar Jane Se Mana Kar Diya. Daroga Sahab Ne Kaha Hame
Ek Ladake Ki Laash Bahut Hee Buree Halat Me Mili Hai. Lash Kee Pahchan Karna
Mushkil Hai Parantu Usake Kapde Sandup Ke Kapdo Se Milte Hai Jo Usane Lapta
Hone Ki Din Pahene The. Lash Ke Gake Me Jo Locket Hai Uspar Dil Ke Aakar Me S
Likhe Hai. Jaisa Ki Soniya Ke Anushar Sandup Ke Gale Me Tha.Soniya Ne Lakh
Samjhane Par Bhi Lash Ki Shinkhat Nahi Ki Aur Ghar Chali Gayee.





Police Ne Sandup Ka PanchNaama Karake Mrit Ghoshit Kar Diya
Aur Police Ne Eas Lapta Case Ko Apni File Ke Andar Kahi Ee Panne Me Dafn Kar
Diya.




Doing Kamaal,
 


Kamal Upadhyay





Keep
reading will post part two very soon. 


Wednesday, 6 February 2013

चुड़ैल की कहानी


यही कोई 14 साल का था मै। दिन भर खेलने और कूदने में दिन निकल जाता था।
स्कूल की छुट्टिया चल रही थी इसलिए दिन भर हुड-दंग मचाना ही मेरा काम था।
दूर के एक चचेरे भाई की शादी थी तो घर के सारे लोग शादी में गए थे मै घर पर
अकेला था। शाम के वक़्त मै मोहल्ले में खड़ा पर मेरी उम्र के बच्चे नदारद
थे। मै अपने से बड़ी उम्र के बच्चो के साथ जाकर खड़ा हो गया। सभी आपस में
चुड़ैल की बात कर रहे थे। हर किसी के पास चुड़ैल के बारे में बताने के लिए
कोई न कोई कहानी थी और मै मज़े लेकर उन कहानियो को सुन रहा था।

सागर ने अपनी कहानी की शुरवात की।
"
रात को करीब एक बजे के बाद वो चुड़ैल 4थे महल्ले से उतरती है और पायल की
आवाज़ करते हुए धीरे धीरे सड़क से होते हुए हमारी गली से गुजरती है। सागर ने
बताया की वो रोज़ इस घटना को अपने आँखों से देखता और एक दिन उसने चुड़ैल का
पीछा किया। सागर चुड़ैल के पीछे पीछे जा रहा था और अचानक कुंए के यहाँ से
चुड़ैल गायब हो गयी। मै भी घर गया। टीवी पर मुंगेरीलाल के हसीन सपने देखने
लगा और खाना खाकर सो गया।

छन

छन

छन

छन

मेरी
नींद अचानक से टूट गयी और मेरे कान में छन-छन की आवाज आ रही थी। मुझे लगा
की गलती से आज चुड़ैल मेरे घर के तरफ चली आयी है। मैंने सोचा की लाइट ऑन
करने के बारे में सोचा पर ये सोच कर रुक गया की चुड़ैल समझ जायेगी की मई जाग
रहा हु और ये सोचकर मै रुक गया। और अगले कुछ सेकण्ड्स में मैंने सभी
32 करोड़ देवी-देवताओ का नाम जप लिया था। धीरे-धीरे मै दरवाज़े की तरफ बाधा
और दरवाज़े के छेद में से बहार देखा। बहार देखते ही मेरा डर गायब हो गया।
BMC ने आज पानी जल्दी छोड़ दिया था और मेरे बाजु वाली चाची पानी भर रही थी।
उसके पाँव की पैजनी (पायल) छन-छन की आवाज़ कर मुझे डरा रही थी।




Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay

Wednesday, 16 January 2013

Saajan Aur Sanam Ki Shadi

Saajan Aur Sanam Ki Shadi Ko Aaj 5 Saal Pure Ho Gaye. Dono Ne Ghar Par
Ek Chhoti See Party Rakhi Thee Aur Aapne Dosto Aur Parivarr Ke Kuchh
Logo Ko Khane Par Bulaya Tha. Party Bahut Hee Shandaar Thee Har Taraf
Khil Khilate Chehare The. Saajan Aur Sanam Bhi Bahut Khush Lag Rahe The.
Dost Aur Parivaro Ke Logo Ka Aapas Me Saath Aana Dono Ko Bahut Pyaara
Lag Raha Tha Parntu Saajan Ke Parivaar Se Abhi Tak Koi Nahi Aaya Tha.
Aur Phir Darwaje Ki Ghanti Baji, Saajan Khat Se Darwaje Ke Taraf Dauda
Aur Kholate Hee Pitajee Darwaje Par The, Turant Bete Pitajee Ke Gale Laga Aur Unhe Andar Le Aaya.

Aaj Sab Kuchh Jitana Badhiya Aur Pyaara
Lag Rah Paanch Saal Pahele Aisa Nahi Tha. Saaajan Aur Sanam Ke Ghar Wale
Dono Ki Shadi Ke Liye Ready Na The. Jaat-Paat Aur Samaj Ke Chakkar Me
Dono Taraf Ke Parivaaro Ko Unke Bachho Ki Khushiya Nahi Dikh Rahi Thee.
Sanaam Ke Parivaar Ka Raviya Thda Lacheela Tha Parantu Saajan Ke Ghar
Wale To Jaise Saajan Ko Shooli Pe Chadha Dete. Saajan Ke Pitajee School
Me Principle The Aur Shayad Easiliey Samaj Ka Chakkar Unhe Bahut Sata
Raha Tha. End of the day Sanam Ke Parivaar Shadi Ke Liye Taiyyar Ho Gaya
Parntu Sajan Ka Parivaar Ab Bhi Eas Rishte Ke Liye Taiyaar Na Tha.

Aaj
Saajan Apne Pitajee Se Pure 5 Saal Ke Baad Mil Raha Tha. Shadi Ke Baad
Pitajee Aur Saajan Ke Bich Koi Baat Nahi Hui. Saajan Ki Maa Kabhi Chori
Chupake Baat Kar Leti Thee Parantu Vo Mauka Bhi Saal Me Ek Do Baar Aata
Tha. Saajan Aur Pitajee Dono Ek Dusare Se Nazar Nahi Mila Rahe The,
Kyonki Dono Apne Aap Ko Ek Dushare Ka Doshi Samajh The. Sanam Ne
Aakar Pitajee Ke Paav Chhuye To Pitajee Ne Turant Apna Haath Bahu Ke Sar
Par Rakh Diya. Pitajee Ne Aaj Pahili Baar Apni Bahu Ka Chehra Dekha Tha
Aur Dekhate Hee Samjh Gaye Ke Saajan Ne Ek Sushil Ladki Ke Saath Shadi Ki
Hai.

Aaj Pahili Baar Dono Taraf Ka Parivaar Ek Saath Aaya The.
Khushiya Aangan Me Jhoom Rahi Thee Aur Pyaar Fizao Me Mahak Raha Tha.
Bina Parivaar Ke Raza Mandi Ke Shadi Karane Wale Har Couple Ki Kahani Ye
Nahi Hoti Hai Par Saajan Aur Sanam Bahut Hee Khushnasib The.




Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay

Wednesday, 26 December 2012

Galli Cricket Aur Murder


Amey Maidan Ke Pichhe Wali Diwaar Ko
Langh Kar Galli Ki Taraf Bhaga. Amey Ke Pichhe 5 Se 6 Log Haath Me
Talwaar Lekar Bhag Rahe The. Amey Jab Daudate Daudate Thak Gaya To Ek
Chhote Se Cabin Me Jakar Chhup Gaya. Uska Pichha Karne Wale Bhi Thak
Gaye The Par Vo Itani Aasani Se Haar Nahi Manane Wale The. Aaj Unki
Talwar Se Amey Ka Murder Fix Ho Gaya Tha. Sabhi Laundo Ki Umra 17-18
Saal Ke Karib Thee Aur Maut Se Hari Bazi Khelna Unka Shauk Tha. Kisi
Jawane Me Gilli Danda Khele Jane Wale India Me Cricket Ne Gilli Danda Ki Jagah Le Lee Thee. Cricket Ek Gentlemen Game
Tha Aur Khetwadi Ke Talab Maidan Par Eas Gentlemen Game Ko Pure
Ungentlemen Tarike Se Khela Jata Tha.

Har-Jeet Katle Aam Me
Badlte Der Nahi Lagati Thee Aur Police Hamesha Ki Tarah Murder Ke Baad
Sayran Bajate Huye Aa Jati Thee. Easme Police Ki Koi Galti Nahi Thi.
Khetwadi Ke Talab Maidan Par Koi VIP Player To Khelta Nahi The Jo Ki
Police Yaha Par Apna Havldaar Hamesha Tainat Rakhe. Police Ko Ground Par
4 Laash Mili. Charo Ki Sinkhat Kar Lee Gayi Thee. Marane Walo Me Gotu,
Punter, Rehman Aur Gattu The. Maarne Wale Bando Ke Bhi Naam Pata Kar
Liye Gaye The. Shankar Kaliya Aur Uski Gang Ka Murder Me Haath Tha. Amey
Eas Baar Bach Nikla Tha Par Kab Tak Bachega Tay nahi Tha.

Gentlemen Game Ke Karan 4 Log Mar Chuke The.
Kaise ?

Amey
Ki Team Ne Toss Jeetkar Pahele Batting Karne Ka Nirnay Liya. 6 Over Ka
Match Tha Jisme Amey Ki Team Ne 74 Run Banaye. Shankar Ki Team Ke Samne
75 Run Ka Lakhya Tha. Shankar Ki Team Ne Bhi Badhiya Shurvaat Ki but
Unke 5 Wicket Bahut Jaldi-Jaldi Chale Gaye. Shankar Ke Out Hone Par
Gattu Ne Kaha "Cricket Aapni Chhamiya Ko Kiss Karne Jitna Aasana Nahi Ki
Bat Uthkar Chale Aate Ho."

Madar......d & Phatak. Gattu
Jameen Par Pada Tha. Shankar Kaliya Ne Aapne Upar Hue Comment Par
Harbhjan Singh Ki Tarah React Kiya but Reaction Ka Tarika Aur Tempo
Alaga Tha. Gattu Par Usane Puri Takat Lagakar Bat Se Mara Aur Gattu Ka Bheja Ukhade Hue Stamp Ki Tarah Usake Sar Se Bahar Aa Gaya. Gotu Ne Stump Lekar Shankar Ke Taraf De
Mara Par Usane Kaun Sa Bhala Phek Ka Class Kiya Tha Jo Nisana Sahi Jagah
Par Lage. Shankar Ke Logo Ne Turan Sabhi Ko Gher Liya Aur Dekhate Hee
Dekhate Gotu, Punter, Rehman Bhi Jameen Par Pade The. Amey Boundary Par
Fielding Kar Raha Tha To Vaha Se Bhaga Par Shankar Kaliya Aur Usake Dost Amey
Ke Pichhe Daude.

Cricket Jaise Gentlemen Game Me Logo Ka Haath
Paav Tutna Mumbai Jaise Shahar Me Aam Baat Thee. Mahine Me Ek Murder Koi
Badi Baat Nahi Thee Aur Pichhale 4 Mahione Se Koi Murder Nahi Hua Tha.
Police Ke Average Ke Hisab Se Ye Ghatna Koi Chukane Wali Baat Nahi Thee
To Kisi Ne Eas Par Dhyaan Bhi Nahi Diya. Ulta Agar Ye Muder Na Hota To Crime Rate Kam Kaise Ho Gaya Easke Liye Bhi Matha Pachhi Karke Ek Report Banani Padti. Satya, Bhiku Mahtre Jaise
Kirdaro Ko Janm Dene Wala Mumbai Shahar Me Sachin Tendulkar Ne Bhi Janm
Liya. Sachin Aur Satya Ko Milaakar Jo Cricket Mumbai Ke Galiyo Me Khela
Jata Hai Vaha Par Bat Se Ball Nahi Balki Sar Phootate Hai.

Chutiyo
Ke Shahar Me Chutiyo Ki Kami Nahi Hai. Amey Aur Shankar Kaliya Dharavi
Jaisee Tang Galiyo Ka Sach Hai. Jise Koi Bhi Janana Nahi Chahat. Vaise
Bhi Mumbai Jaise Shahar Me Itani Bheed Hai Ki Kuchh Log Dharavi Ki
Galiyo Me Mar Bhi Jaaye To Kya Pharak Padta Hai. Kabhi-Kabhi Kuchh Log
Camera Uthakar Aate Hai Aur Ek Documentary Banakar Award Aur Naame
Kamate Hai. Par Mumbai Ki Tang Galiyo Me Khele Jane Wale Cricket Ka
Dur-Dur Tak Gentlemen Game Se Koi Lene Dena Nahi Hai.



Shankar Kaliya Police Se Aur Amey Shankar Kaliya Jaane Bachate Huye, Mumbai Ki Tang Galiyo Me Lukka-Chhipee Khel Rahe Hai. Shankar Kaliya Aur Amey Ko Out To Hona Hai Par Kab, kaha Aur Kiase Ae Waqt Batayega.



Doing Kamaal,
 

 


Kamal Upadhyay

Wednesday, 14 November 2012

कैलाश की दिवाली

मोहल्ले के सभी बच्चे तीन दिन से दिवाली मना रहे थे। कैलाश भी दिवाली मनाना
चाहता था, परंतु माँ उसे पटाखे खरीदने के लिए पैसा नहीं दे रही थी। माँ
पैसे कहाँ से देती लोगो के घर झाड़ू पोछा करके जो पैसा मिलता था, उससे घर
चलाना भी मुश्किल हो जाता था। महीने के अंत तक खाने पिने के भी लाले पड
जाते थे। कैलाश को ये बाते समझ में नहीं आती थी, उसे सिर्फ दिवाली में
पठाखे जलाने के लिए चाहिए थे। माँ भी कैलाश को खुश देखना चाहती थी परन्तु पैसे की मजबूरी के आगे कुछ नहीं कर पाती थी।




कैलाश
घर से कुछ दूर वाले मैदान में खेल रहा था। दोपहर को घर आया और खाना खाकर
फिर से खेलने चला गया। माँ सोच रही थी की शायद आज पटाखों का बुखार उसके सर
पर नहीं है। माँ खुश हो गयी खोटे जी के यहाँ काम पर चली गयी। दिवाली का दिन
था तो काम रोज से ज्यादा था. माँ भी जल्दी जल्दी काम निपटाकर घर जाना
चाहती थी। दिवाली के दिन लक्ष्मी पूजा करके लक्ष्मी माँ को मनाना चाहती थी।
पर लक्ष्मी माँ भी बिना देशी घी के दिये से नहीं माननेवाली। कैलाश के घर
में तो खाने का तेल नहीं था तो घी की दूर-दूर तक सुघंध का अता पता नहीं था।




माँ काम ख़तम कर के घर आयी तो कैलाश झट से आकर माँ से चिपक गया। माँ ने कैलाश को हाथ पांव धोने के लिए कहा और पूजा की तैयारी में जूट गयी। खोटे जी के यहाँ से माँ को दिवाली के 30 रुपये मिले थे और माँ ने उन पैसो से दीयाँ, तेल और शक्कर की मिठाई खरीद ली। पूजा के बाद कैलाश ने मिठाई खा ली और फिर से फटाखो के लिए जिद करने लगा। माँ भी कैलाश की हर मांग को पूरा करना चाहती थी पर मजबूर थी। कैलाश नहीं मान रहा था और जिद कर रहा था। माँ ने गुस्से में आकर कैलाश को बहुत मारा और कैलाश रोते रोते सो गया और माँ भी एक तरफ रोते रोते सो गयी।



कैलाश की दिवाली दिल दुखा देनेवाली थी परन्तु आज भी भारत में कई ऐसे कैलाश है जो दिवाली के दिन रोते रोते सो जाते है। 



Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay

Tuesday, 9 October 2012

फ्रीज़र


ठंडा पानी पिया बड़ा मज़ा आया. मै १ लीटर से
ज्यादा पानी पी चूका था. आप मुझे पूछ सकते है ठंडा पानी पिने मै इतनी बड़ी
बात क्या है,  अरे भाई १९९२ में बहुत ही कम घरो में फ्रीज़र होता था. मै
बहुत खुशनसीब था जो की मेरे घर में फ्रीज़र था. मेरे पिताजी बैंक में कार्य
करते थे तो सुख सुविधा की हर चीज़ घर में मौजूद थी.





१५ मई १९९२ पापा ऑफिस से घर जल्दी आ गए. उनके पीछे दो आदमी एक बड़ा सा
बॉक्स उठा कर ला रहे थे. बॉक्स ५ फीट लंबा था, माँ  और मै सोच रहे थे की
इतने बड़े बॉक्स मै क्या आया है. पापा ने देलिवेरी बॉय को २० रुपये दे दिए
और मुझे ५ रुपये देकर बाज़ार से नारियल और फूल लेन को कहा. मै इस वक़्त
बाज़ार नहीं जाने चाहता था मेरी उत्सुकता तो बॉक्स के अन्दर आये सामन को
देखने की थी. पापा ने फिर एक बार कहा बेटा जल्दी जा और फूल लेकर आ फिर ये
बॉक्स खुलेगा. मै झट बाज़ार की तरफ दौड़ा और माली चाचा के यहाँ से हार और फूल
लेकर झट घर आ गया.  




खुल जा सिम-सिम!! अली बाबा की फिल्म का डायलोग मेरे मन मै गूंज रहा था.
पापा बॉक्स की तरफ बढे और बॉक्स खोला और खोलते खोलते बताया की इसके अन्दर
फ्रीजर है. भाई पूजा हुई, नारियल फूटा, पड़ोस से शर्मा चाचा, शेख भाई, तोमर
दादा, हंडे काका सब को मै घर बुला के लाया. फ्रीज़र मे पानी रखा, सबके लिए
चाय बन के आई, चाय पिने के बाद सभी बैठ कर बातें करने लगे. भाई पानी ठंडा
होने मे टाइम तो लगता है. शायद पहेली बार लोग चाय पिने के बाद पानी पिने का
इंतजार कर रहे थे.




भाई आधा घंटा काटना दुस्वार हो गया, मई का महिना था और गर्मी बहुत थी. आधे
घंटे बीत गए पानी ठंडा हुआ, निम्बू शरबत बना लोग पिने लगे,
मै भी एक कोने में बैठकर निम्बू शरबत का मज़ा ले रहा था. भाई अब तो रोज़
ठंडा पानी पीना और गरम खाने को फ्रीज़र मे रख कर ठंडा करके खाने में मुझे
बहुत मज़ा आता था, अरे भाई १२ साल का था मै कुछ अलग करने में ही मज़ा आता था.




मै हमेशा फ्रीज़र खोलने का मौका देख ता रहता था. जब किसी का ध्यान फ्रीज़र
की तरफ नहीं होता था मै चुप-चाप फ्रीज़र खोल के उसके सामने खड़ा हो  जाता
था, ठंडी हवा खाने मे बहुत मज़ा आता था , अरे भाई उस समय ए.सी नहीं था घर पे
तो फ्रीज़र के सामने ही खड़ा होकर हवा ले लेता था. और उस समय मुझे ए.सी के
बारे मे पता भी नहीं था. ए.सी उस समय आम बात नहीं थी और सिर्फ ख़ास लोगो के
घर ही पाया जाता था.




कम से कम मोह्हाले के २० घर मेरे फ्रीज़र से पानी ले जाते थे. अब मै
क्रिकेट खेलते समय ओपनिंग में बल्लेबाजी करने आता था. अरे भाई में खुश
रहूँगा तो ही  तो ब्रेक में ठंडा पानी पिने मिलेगा. अचानक से डॉक्टर ने भी
सुई लगाने के बाद बर्फ से सेकाई करना जरूरी कर दिया था तो पुरे मोहल्ले मै
किसे सुई लगी है ये बात हमरे घर पर पता चल जाती, आज किसके घर पर आमरस बनेगा
ये भी हमें पता रहता था.



अब फ्रीज़र वालो का वो रुतबा नहीं रहा. हर घर में फ्रीज़र है. उस
समय हमरा फ्रीज़र १६००० रुपये मै खरीद कर आया था और आज कल तो ५-६ हज़ार में
भी फ्रीज़र आ जाता है परन्तु आज भी मै आपने बचपन के दिन और फ्रीज़र के साथ
जुडी यादो को याद कर के खुश रहेता हु. अब हमर वो पुराना फ्रीज़र कबाड़ी
वाला ले गया क्योंकि उसके मरम्मत के खर्चे में अब नया फ्रीज़र आने लगा है.




Doing Kamaal,



Wednesday, 26 September 2012

क्रिसमस गिफ्ट

मै बार साल का था और सातवी कक्षा मै पढ़ रहा था. मै हिंदी माध्यम था इस लिए क्रिसमस मेरे लिए एक दिन की छुट्टी के अलावा कोई ज्यदा महत्व नहीं रख ता था. अंग्रेजी माध्यम मे क्रिसमस के उपलक्ष्य मे एक हप्ते की छुट्टिया मिलाती थी, परन्तु अन्य भाषा के विद्यालयों मे एक दिन के अवकाश के अलावा क्रिसमस कोई खास मायने नहीं रखता था. मुझे तो पहली कक्षा से ही क्रिसमस की छुट्टिया मिलती थी परन्तु क्रिसमस का मतलब मुझे सातवी कक्षा मे समझ मे आया.



क्रिसमस ईसायियो का बहुत बड़ा त्यौहार था जैसे हिन्दू धर्म मे दिवाली होता है, मेरे लिए उत्सुकता की बात ये थी की मेरे मित्रो के अनुसार क्रिसमस के दिन संताक्लोस नाम का व्यक्ति आता है और सबको गिफ्ट देकर जाता है. मुझे उसके गिफ्ट देने मे जो बात विचित्र लगी वो थी की वो लोगो के मोज़े मे गिफ्ट डालता था. सो इस बार मैंने भी संताक्लोस से गिफ्ट लेने की ठान ली.



क्रिसमस के दिन सुबह उठकर मैं सबसे पहेले अपने मोज़े को धोने लगा मै नहीं चाहता था की संताक्लोस मेरे गंदे मोज़े मे गिफ्ट डालकर जाए ! और शाम के समय मैंने अपने मोज़े को अपने बिस्तर के किनारे टांग दिया. मै मन ही मन सोच रहा था की इतने छोटे से मोज़े में संता क्या डालेगा, यही सोचते-सोचते मै सो गया और सुबह उठकर मैंने सबसे पहेले अपने मोज़े की तरफ नज़र डाला परन्तु मेरा मोजा जगह पर नहीं था मै परेशान हो गया और जैसे ही उठकर बाहर आया मेरा मोजा बहार की रस्सी पर सुख रहा था. मेरी माँ ने उस धुले मोज़े को फिर धोकर रस्सी पर टांग दिया.




मैंने एक साल तक क्रिसमस का इंतज़ार किया और क्रिसमस का दिन आ गया इस बार मैंने आपने पिताजी का नया मोजा लिया क्योंकि बड़े और नए मोज़े मैं संताक्लोस कुछ बड़ा ही डालेगा. मैंने मोजा ऐसी जगह रखा जंहा संताक्लोस के अलावा कोई नहीं पहुच पाए. मै दिन भर खेल रहा था तो रात मै जल्दी सो गया. सुबह उठकर झटपट मै मोज़े को उतारने के लिए चला गया जैसे ही मैंने मोज़े को खोला वो खाली था मुझे इस बात का दुःख हुआ की मैंने मोजा ऐसी जगह क्यों टांगा जहाँ किसी की नजर न जाए, मुझे लगा शायद संताक्लोस को भी मोजा ढूढ़ने में परेशानी हुई इसलिए वो बिना गिफ्ट डाले ही चला गया.



कुच्छ सालो के बाद !



मुझे पता चला की क्रिसमस के दिन बच्चो के माता पिता उनके लिए गिफ्ट लाते है और संताक्लोस सिर्फ एक दन्त कथा है. मेरे माता पिता इस बात से अनभिज्ञ थे हमारे हिन्दू धर्म मै क्रिसमस का कोई रिवाज़ नहीं था. मैं हमेशा आपने क्रिसमस की इस कहानी को सोच कर मुस्कराता हु और मन ही मन सोचता हु की किसी दिन मुझे क्रिसमस गिफ्ट मिलेगा परन्तु अब मैंने मोजा लटकाना छोड़ दिया है!







Monday, 17 September 2012

सुयोधन या दुर्योधन


बहुत समय पहेले मैंने कही पढ़ा था की दुर्यौधन का नाम सुयोधन था परन्तु उसके
कर्मो के कारण लोग उसे दुर्योधन बुलाने लगे ! हम हमेशा दुर्योधन का नाम
आते ही मन मे घृणा भर लेते है परन्तु क्या दुर्योधन इतना पापी था जितना
पापी हम उसको समझाते है ! मै पुरे विश्वास के साथ कह सकता हु की बहुत ही कम
लोगो ने महाभारत का अध्ययन किया होगा, प्रायः लोगो ने टीवी पे प्रशारित
नाटको के जरिये सुयोधन के बारे मे अपनी मंशा बना ली, परन्तु यहाँ भूल गए की
प्रायः धारावाहिक दर्शक की रूचि के अनुसार पात्रो का गठन करते है !
 


दुर्योधन या सुयोधन ?
 


बड़ा

प्रश्न चिन्ह मेरे मन मे अचानक खड़ा हो गया ! मुझे पता है की आप के लिए
इसमे सोचने वाली कोई बड़ी बात नहीं है परन्तु हमारे संसार का निर्माण सभी
पात्रो को ध्यान मे रख कर हुआ ! स्वयं सृष्टी के निर्मता ने सुयोधन और
दुर्योधन दोनों का बनाया ! हर युग मे दुर्योधन ने जन्म लिया और फिर उसका वध
हुआ, दुर्योधन को बुराई का प्रतिक माना गया और उसके वध के बाद लोगो मे इस
बात का प्रचार किया गया की बुरे व्यक्ति का हस्र बुरा होता है !
 


दुर्योधन का जन्म जरूरी था ?
 


दुर्योधन
के वध से लोगो मे भगवान के प्रति आस्था बनी रही ! भगवान भी स्वयं यही
चाहते है की लोग उन्हें याद रखे ! यदि मनुष्य को सिर्फ आनंद मिलेगा तो
भगवान को याद नहीं करेगा इस लिए दुर्योधन का जन्म हर युग मे जरूरी है ! लोग
कष्ट मे रहेंगे तो भगवान को याद करेंगे और उनमे सही और गलत का डर बना
रहेगा ! अब आप जब कभी दुर्योधन के बारे मे सोचे तो याद रखना वो तो मात्र एक
कटपुतली था और उसका भाग्य तो स्वयं भगवान ने निर्धारित किया था !
 


Doing कमाल,
कमल उपाध्याय

Friday, 31 August 2012

Kaccha Nimbu





Isn’t Kaccha nimbu same as Trainee.




I was very small at that time, some around 5 years old. I
was not knowing, how to play hide and seek but I wanted to play. Elder champs
gave me admission in their group to play Lappa-Chhupi that’s more close to my
heart than Hide & Seek. I always enjoyed playing as Kaccha Nimbu.





The rules for me were totally different. It was like
enjoying immunity. I have to enjoy the game as overseas political diplomat. I
was enjoying freedom of hiding and no job for doing search of anyone. I always
think if I can continue my job as Kaccha Nimbu. I should get praise for all my
good words and immunity for wrong work.





I do remember that when I was Trainee, I was enjoying my Job
as Kaccha Nimbu, no pressure for work, praise for good work and no firing for
wrong. I didn’t enjoy Kaccha Nimbu status for long time. No one can enjoy it for
long time as you have to take responsibility for growth. We have to perform
extra ordinary to be different. We have to compete with other so we can enjoy
luxury of life but don’t you think we were enjoying Kaccha Nimbu status more
than you present challenging Job.




Do share your story of Kaccha Nimbu, I would like to know
your story and will share same on blog so other can read what they are missing.





Doing Kamaal,


Kamal Upadhyay

.