Wednesday 16 May 2012

Cartoon Ko Cartoon Na Kaho







Bhai yaha
mai kisake bare mai baat kar raha hu aapko pata he hoga. Naam na lu badhiya
hai, kyonki naam lene pe pharmaan jari kar denge, mujhe jail mai dal denge aur
mera blog band kara denge. Chup rahane mai hee meri bhalai hai par kya karu
Mithun rashi ka hu chup baithna achha nahi lagta. Bhgwan ne mithun rashi mai
paida kiya to vo bhi yahi chahate hai ki mai bolta rahu.





Bhai Takle
ko Takla kahoge to use bahut gussa aata hai. Mujhe nahi aata log bulate hai
mujhe takla kabhi pyaar se to kabhi khhunas. Bhai Mumbai se hu
to hindi todhi bambiya hai par yaar cartoon ko cartoon bolo to cartoon chidh
jate hai. Cartoon kahete hai ki cartoon mat banao. Bhai cartoon to vyang ka ek
aham part hai. Cartoon se achha vyang bina bole nahi ho sakta.





Bharat ek
aajad mulk hai par aajad mulk mai aajadi roz kam hoti ja rahi hai. Kabhi kehete
hai net par censor lagayenge, kabhi kehte jail bhijwynge aur ab kehete hai
Deshvasiyo cartoon chhodo. Are bhai cartoon to matra ek jariya hai vyang ka, ab
aap desh sambhalane nikale ho to vyang bhai sahe lo. Jo galat nahi ho to kyo
darate ho. Gandhi ke bare me bhi logo ne bahut bhala bura kaha par Gandhi to
Gandhi hai. Vichar nahi badle logo ke Ganhdi ke bare me maine bahut prytna kar
chukka mai, phir bhi log Bapu hee kahete hai.





Cartoon ka
virodh karte ho par jab swyanm cartoon vali harkat karate ho tab nahi sochate. Are
bhai koi sabhya insaan kabhi ek dusare par table, khurchi phaikta hai kya ? jab
hamne kaha kyo phaikte ho to kehete to jail mail dal do. Cartoon hai mazak ke
liye bana hai mazak ki tarah lo. Complaint kyo karte ho. Bharat aajad mulk hai
par tum usake malik bilkul nahi ho. Ab jyda nahi kahunga aur logo se request
karunga cartoon ko cartoon mat kaho. aur agar kahena hai to kaho catroon hai bura kyo manenge.





Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay


No comments:

Post a Comment

.