Wednesday, 20 June 2012

Meri Pyas Badi Hai





Garmi ke din hai, pankshi pyase hai,


Bhatak rahe hai eas dal
se uas dal !





Insaan Hu Mai, Meri Pyas Badi Hai,

Pyas Hai Mujhe Soharat Ki,



Insaan Hu Mai, Meri Pyas Badi Hai,

Pyas Hai Mujhe Naam, Manmani Ki,





Insaan Hu Mai, Meri Pyas Badi Hai,

Pyas Hai Mujhe Ghar, Gadi, Saki ki,



Pyas Nahi Bujhegi Meri Pani Se,

Pankshi Pani Se Pyas Bujhate Hai !



Insaan Hu Mai, Meri Pyas Badi Hai,

Saat Samndar Phirane Ki Pyas !





Insaan Hu Mai, Meri Pyas Badi Hai,

Logo Ko Nicha Dikhane Ki Pyas !



Insaan Hu Mai, Meri Pyas Badi Hai,

Daud Ke Bheed Se Aage Nikal Jane Ki Pyas !



Garmi ke din hai, pankshi pyase hai,


Bhatak rahe hai eas dal se uas dal !





- Kamal Upadhyay

No comments:

Post a Comment

.