Tuesday 3 July 2012

Barish Ka Intzaar


July Ka Mahina Tha, Gain Mai Log Abhi Bhi Barisk Ka Intzaar
Kar Rahe The. Pura June Khatam Ho Gaya Tha Par Barish Nahi Ho Rahi Thi. Badal
Ghir – Ghir Aate Aur Chale Jate. Pura Gaon Barish Ke Liye Puja – Yagna Kar Raha
Tha. Kheti Mahine Bhar Se Der Ho Chuki Thi. Har Jeeveet Prani Barish Ke Liye
Vyakul Tha. 






 Barish Har Waqt Time Pe Aa Jati Thi Par Eas Bar Mano Vo Bhi
Aam Aadmi Ke Saath Mazak Kar Rahi Thi. Dattu Daudate – Daudate Ghar Mai Aaya
aur Maa Se Pine Ke Liye Pani Mangle Laga. Pani Ki Kimat Dattu Aur Usake Gaon
Mai Sabko Pata Hai. Garmi Ke Dino Se Pura Gaon 3 Kilometer Chal Ke Pahad Se
Niche Jata Aur Pani Le Aata.





Barish Pure Gaon Ke Liye Jarrori Thi. Dhan Ki Khet Karni Thi
Nahi Tu Pura Saala Bura Katega. Dattu aur Usaki Maa Ne Devi Se Barish Ke Liye Roz
Prathna Karte The. Ek Din Raat Ko Dattu Aur Usaki Maa Ko Khali Pet Sirf Pani
Pike Sona Pada. Khali Pet Pani Pine Se Pet Mai Dard Hota Hai Par Jab Pani Itani
Mehnat Se Aaye To Pani Har Dard Mita Deta Hai.





Barish Na Hone Ke Karan Sarkar Ne Sabhi Gaon Ke Logo Ko
Paanch Hazar Rupaye Prati Ghar Dene Ki Liye Kaha Parntu Sarpanch Ki Mili Bhgat
Se Har Ghar Ko Sirf Tera Sau Rupaye Mile. Garibo Ke Naam Par Amir Log Apna Peta
Bhar Rahe The.





Paper par Dattu Ke Gaon Me Baar 40 Meter Ke Kue The Par
Hakikat Mai Sirf Ek Bees Meter Ka Kua Tha Jo Sirf Barish Ke Waqt Bhara Raheta
Tha Aur Pure Saal Usame Pani Ka Ata Pata Nahi Tha. Gaon Ke Kafi Log Uas Kue Mai
Jaan Dene Ke Liye Kude Par Pani Ke Na Hone Ke Karan Sirf Haath Paav Tudvkaar
Kar Bed Par Aaram Karte.





Garmi Ka Haal Mat Puchho Baarish Pichhe Hote Ja Rahi Thee
Aur Garmi Aage Badhte Ja Rahi Thee. Bijalee Ke Khambhe To The Gaon Mai Par Bijali
Neta Ji Ki Tarah Kuchh Mahino Mai Ek Bar Aati Thi. Garmi Se Rahat Ke Liye
Barish Ka Hona Jaruri Tha. Gaon Sadhe Saat Logo Haize Se Mar Chuke The. Sadhe
Saat Eas Liye Kyonki Saat Mar Chuke The Aur Ek Banda Kafi Din Se Bimar Tha. Doctor
Shahab Bhi Aakele Sadhe Teen Sau Ghar Mai Dava Dete The So Unki Daya Pe Marizo
Ko Dava Milti Thi.





Aur Ek Din Badal Jor Jor Garzne Lage !!





Doing Kamaal,



Kamal Upadhyay

 







No comments:

Post a Comment

.