Wednesday, 16 January 2013

Saajan Aur Sanam Ki Shadi

Saajan Aur Sanam Ki Shadi Ko Aaj 5 Saal Pure Ho Gaye. Dono Ne Ghar Par
Ek Chhoti See Party Rakhi Thee Aur Aapne Dosto Aur Parivarr Ke Kuchh
Logo Ko Khane Par Bulaya Tha. Party Bahut Hee Shandaar Thee Har Taraf
Khil Khilate Chehare The. Saajan Aur Sanam Bhi Bahut Khush Lag Rahe The.
Dost Aur Parivaro Ke Logo Ka Aapas Me Saath Aana Dono Ko Bahut Pyaara
Lag Raha Tha Parntu Saajan Ke Parivaar Se Abhi Tak Koi Nahi Aaya Tha.
Aur Phir Darwaje Ki Ghanti Baji, Saajan Khat Se Darwaje Ke Taraf Dauda
Aur Kholate Hee Pitajee Darwaje Par The, Turant Bete Pitajee Ke Gale Laga Aur Unhe Andar Le Aaya.

Aaj Sab Kuchh Jitana Badhiya Aur Pyaara
Lag Rah Paanch Saal Pahele Aisa Nahi Tha. Saaajan Aur Sanam Ke Ghar Wale
Dono Ki Shadi Ke Liye Ready Na The. Jaat-Paat Aur Samaj Ke Chakkar Me
Dono Taraf Ke Parivaaro Ko Unke Bachho Ki Khushiya Nahi Dikh Rahi Thee.
Sanaam Ke Parivaar Ka Raviya Thda Lacheela Tha Parantu Saajan Ke Ghar
Wale To Jaise Saajan Ko Shooli Pe Chadha Dete. Saajan Ke Pitajee School
Me Principle The Aur Shayad Easiliey Samaj Ka Chakkar Unhe Bahut Sata
Raha Tha. End of the day Sanam Ke Parivaar Shadi Ke Liye Taiyyar Ho Gaya
Parntu Sajan Ka Parivaar Ab Bhi Eas Rishte Ke Liye Taiyaar Na Tha.

Aaj
Saajan Apne Pitajee Se Pure 5 Saal Ke Baad Mil Raha Tha. Shadi Ke Baad
Pitajee Aur Saajan Ke Bich Koi Baat Nahi Hui. Saajan Ki Maa Kabhi Chori
Chupake Baat Kar Leti Thee Parantu Vo Mauka Bhi Saal Me Ek Do Baar Aata
Tha. Saajan Aur Pitajee Dono Ek Dusare Se Nazar Nahi Mila Rahe The,
Kyonki Dono Apne Aap Ko Ek Dushare Ka Doshi Samajh The. Sanam Ne
Aakar Pitajee Ke Paav Chhuye To Pitajee Ne Turant Apna Haath Bahu Ke Sar
Par Rakh Diya. Pitajee Ne Aaj Pahili Baar Apni Bahu Ka Chehra Dekha Tha
Aur Dekhate Hee Samjh Gaye Ke Saajan Ne Ek Sushil Ladki Ke Saath Shadi Ki
Hai.

Aaj Pahili Baar Dono Taraf Ka Parivaar Ek Saath Aaya The.
Khushiya Aangan Me Jhoom Rahi Thee Aur Pyaar Fizao Me Mahak Raha Tha.
Bina Parivaar Ke Raza Mandi Ke Shadi Karane Wale Har Couple Ki Kahani Ye
Nahi Hoti Hai Par Saajan Aur Sanam Bahut Hee Khushnasib The.




Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay

No comments:

Post a Comment

.