Banaras, Uttar Pardesh
Rajiv ko aaj ki
Mahangari train pakad kar vapas Mumbai Jana tha. Mahanagri Banaras
station se 11 baje chhutati hai aur easliye vo subha jaldi uath gaya.
Rajiv ke ghar se Banras station ki duri 94 kilometer thee. Rajiv ke ghar
se GT Road 5 kilometer tha aur phir GT Road se sidhe bas pakad kar
Banaras station pahuchna tha.
Rajiv ka bachpan to
Mumbai me beeta tha par vo har saal garmiyo me chhutiya bitane gaon
aata tha. Gaon me usake ghar ke samne ek bada bargad ke ped tha aur log
use hamesh uas taraf jaane ko mana karate the. Gaon ke logo ka kahena
tha ki uas taraf ek chudail ka basera hai. Chudail ki pakad se
bachane ke liye gaon vale apne hatho me Tabiz bandhate the.
Rajiv ka bachpan
Jadu-Tone, Bhoot-Pret ki kahaniyo ke beech beeta tha. Easliye use
andhere se bahut dar lagta tha. Rajiv raat ko apne chaar payee se jyada
dur nahi jata tha usake man me andhere ka dar bana rahta tha. Rajiv ne
kabhi Bhoot-Pret dekha nahi tha aur uan par bishwas bhi nahi karta tha.
Easliye vo tabiz nahi pahenta tha. Gaonwale use hamesh Tabiz pahenane ke
liye kahate the.
Train pakadane ke
liye Rajiv subha utha. Subha ke karib 3 baje the. Rajiv khet ki taraf
jane hee wala tha ki use laga ki ghar ke bagal me koi khada hai. Rajiv
ka Dil dhak se upar aa gaya. Dur se dekhane par use laga ki koi aurat khadi hai aur Rajiv ka man turant chudail ki taraf gaya. Rajiv
ne man hee man socha ki maine to tabiz bhi nahi pahna hai to agar mai
khet ki taraf gaya to chudail mujhe pakad legi.
Rajeev ke dimag me chudail ki photo banane lagi. Agar aap ne bachpan me baadalo se taseveer banayee hai to aap janate honge ki ek baar man jis chhez par ruk gaya har tasveer uas tarah hee banane lagati hai. Rajeev ka dimaga bhi alag alag chudailo ki photo apne dimag me banane laga.
Rajiv apnee jagah
par stabdh khada tha. Rajiv me na aage jane ki himmat thee aur na pichhe
aane ki himmat thee. Rajiv apani jagah par khada hokar Chudail ko dekh
raha tha. Karib 10 minute beet gaye the aur chudail apni jagah se hil
nahee rahee thee. Rajiv Ka dar ab dhire dhire kam ho raha tha ki achanak
se jor ki hawa chali aur Chudail kee saadi hawa me uadane lagi.
Hawa ke shant hote
hee sab kuchh phir tham gaya. Rajiv karib aadhe ghane se ek jagah khada
tha. Rajiv ne man hee man socha ki aaj mai eas Chudail se milke rahunga
aur tabhi usane Chudail ki taraf kadam badhaye. Jaise Jaise Rajiv ke kadam
aage badh rahe the vaise vaise dar badhate hee jaa aha tha. Rajiv kuchh
kadam aage badh tha ki achanak se light aa gayee.
Gaon ki light
pichhale 15 din se kati thee. Gaonwalo ke liye andhere me rahena koi
badi baat nahi thee. Rajiv bhi kisi tarah andhere ka aadi ban gaya tha.
Rajiv andhere se darta tha eas liye raat ko jaldi so jata aur subha din
nikalne ke baad uath jaata tha. Aaj Train pakadni thee easliye use
andhere me uthna pada..
Light aate hee
Rajiv aapne aap par hasane laga. Chudail ka dar usake man se dur ho gaya.
Kyonki jise vo Chudail samajh raha tha vo Chudail nahi ek Mirchi ka ped tha
aur uaspar kisi ne saadi sukhane ke liye dala tha, jisase vo ped ek
taraf jhuk gaya tha aur Rajiv use Chudail Samjh baitha.
Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay
No comments:
Post a Comment