Monday 23 September 2013

Kalanki Avatar - I



2032, India





Bharat ke har kone se ek ke baad ek  Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to
OB vains kam pad gayee har murder ki coverage dikhane ke liye. Police,
Prasashan Sabhi samajh nahi paa rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me
uche avadho par baithe afsaro ki tadat kam hoti ja rahi thee. Marane walo me
Politicians, Gangstars, Government officers, Business Men bhari matra me the.





Charo Taraf chal rahe High profile muder se jaha Prasashan
me afra tafri machi thee vahee dusari taraf Janta me khushi ki laher daud rahee
thee. Janta ye samajh gayee thee ki murder karane wala koi masiha hai kyonki
marne wale sabhi logo ke upar kisi na kisi prakar ka aarop tha. Bade high
profile cases me involve sabhi logo me khuaf ka mahaol tha.





Police, CBI, IB, Army Intelligence sabhi puri tarah se
Murder mystery solve karane me lage the. Intial report ke anushar ye kisi bahut
hee high profile gang ka kaam hai jo technology me advance hai. Prasashan ko
kisi bhi crime scene se se koi bhi sabut nahi mila, crime scene pe lage cctv
cameras me koi bhi activity kaid nahi hui thee.





Naam?





Apradhi?





Kaun?




People started calling the murder God. Parantu pichhale
kuchh dino me rape, murder aur chori ki ek bhi mamale samane nahi aaye the.
Shayad logo ko ye samjh aa gaya tha ki agar ham koi galat kaam karenge to
marane walo ki list me hamara bhi shumaar ho jayega. Police sutro ke anushhar
abhi tak chhote bade logo ko milakar 3745 log mare ja chuke the aur sabhi
marane walo ke upar court me case chal raha tha.



No comments:

Post a Comment

.