Thursday 26 September 2013

Kalanki Avatar - III



2014,India





2014 me Bharat ke aam chunav huye. Bharat ke aam chunav me
Kamal Ram ek bahut bade neta ban kar ubhare. Rashtriya Hindu Party sabse jyada
seato bar jeet kar aayi thee. RHP ne Kamal Ram ko apne Pradhanmantri pad ka
ummid war ghoshit kiya. Gathbandhan ki rajniti me Kamal Ram ke liye ek mat
banana jaruri tha. Kamal Ram khud eas kaam me lage aur unhe Bahumat mil gaya.





Kamal Ram ka janm Maharashtra ke chhote se Gaon Kankvali me
hua tha. Kamal Ram ke teen bhai aur do bahen thi. Kamal Ram ke pita ek school
me accountant the. Kamal Ram ne apani padhai ke saath RHP ki yuva sanghtan me
bhag lena shuru kiya. Apni mehnat aur samjhdari se Kamal Ram RHP me apani paith
banate gaye aur ek bade neta ban gaye.





Kamal Ram ki kaptani me RHP ne pahali bar apani sarkar
banai. Kamal Ram ko ek tanashah neta mana jata tha. Parantu unke Pradhanmantri
banate hee jaise Bharat ka bhagya badal gaya. Crime Graph niche jane laga,
Berojgari kam hone lagi, chhote chhote laghu udyog panapane lage aur dekhate
hee dekhate charo tarah sukh aur samridi chha hayi.





Scam dhire dhire kam ho rahe the aur yu kahe ki khatam ho
gaye the, parantu Kamal Ram ke PM banane se pahele jitane bhi neta ghotalo me
shamil the vo apane paiso aur naam ke bal par aajad ho gaye. Jin netao ne
Bharat aur Bharat ke logo ko chus chus ka kamjor kar diya tha vo khule aam
aazad ghum rahe the. Kamal Ram ne sabhi gunahgaro ko jail bhejane ka pura
prayas kiya parantu sabut ki kami se unhe safalta nahi Mili.





2014 se 2032 tak Kamal Ram Bharat ke Pradhanmantri the.
Kamal Ram ke Netratav me Bharat ne Nayi safaltaye hasil ki. Mumbai jaise sahar
me jahan Motor caro se tej insaan sadak par chalate the vaha ab traffic dur dur
tak nahi dikhata tha. Public transport bahut hee badhiya ho gaya tha aur bhid
bhad ab purana sapna ho gaya tha. Bharat ab khud self defense ke equipment
banata tha. Bharat ek Vikasshil desh se  Vikasit
desh ban gaya tha.




Sab Kuchh sahi chal rah tha parantu tabhi ek din Kamal Ram ki
ek sabha me unpar hamala ho gaya.




To be continued.............


No comments:

Post a Comment

.