Wednesday 25 September 2013

Kalanki Avatar - II



2013, India





Bharat ki sabse badi party Congress(I) har morche par fail
ho rahi thee. Bharat me charo taraf aarajkta aur Ashanti ka mahol tha. Berojgari aur garibi badh rahee thee. Mahangai thamnae ka naam nahi le rahi thee aur aam janta
CONGRESS(I) se trast ho chuki thee. Pradhanmantri Sahab kisi bhi kaam ke na the
aur garibi bhukhmari se crime ke graph upar badhta ja raha tha.





Bharat ke logo ka Political parties aur unke Netao se bharosa
uath gaya tha. Har aaye din kisi na kisi neta ka naam scam me aa raha tha.
Hajar Karod achanak se rupya do rupya lagane lage the. Jab bhi tv kholo to News
reporter kisi na kisi Neta ki pol kholate dikhate the. Media wale apna kaam jor
shor se kar rahe the aur bharat ke eas 4th pillar ne Janta me thodi ummeed
bacha ke rakhi thee.





Balatakar





Balatakar





Balatakar





Balatakar





Crime graph ke upar chadhane me sabse bada haath jis crime
ka tha vo tha Balatakar. Janta ke man se Police aur Kanoon ka dar khatam ho
raha tha. Anti Social elements apni manmani kar rahe the aur Balatakar apni
charam seema par tha. Shayad se Bharat ke Etihaas me sabse jyada Balatakar eas
samay par hee huye the. Ladkiyo aur Mahilao ke jeena mushkil ho gaya tha aur
sarkar abhi laachar thi.





Balatakar ke badhate mamlo se janta aur trast hoti ja rahi
thee. Social workers aur NGO India Gate, Gate way of India aur bade bade
chaupalo par sarkar ka virodh aur dharna pradarshan kar rahe the. Police ka
raviya thoda tough hua tha parantu crime graph niche aane ka naam nahi le raha
tha. Sarkar kaun chala raha tha eas baat ka pata kisi ko nahi tha.




Logo ka manana tha ki sarkar Italy se chal rahi hai aur
Dilli to sirf naam ke liye Bharat ki Rajdhani hai. Sarkari aur Police tantra
fail ho gaya tha. Army ne aakar bharat ki kanoon vyshta ko sambhala aur dhire
dhire halat kabu me aa gaye. Ab janta Parivartan chahati thee aur 2014 ke
chunav najdik aa rahe the. Eas bar logo ne Congress(I) ko satta se bahar faikane
ka man bana liya tha.




To be continued


No comments:

Post a Comment

.