Sunday 17 November 2013

Kalanki Avatar


Kalanki Avatar - I

2032, India

Bharat ke har kone se ek ke baad ek Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to OB vains kam pad gayee har murder ki coverage dikhane ke liye. Police, Prasashan Sabhi samajh nahi paa rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me uche avadho par baithe afsaro ki tadat kam hoti ja rahi thee. Marane walo me Politicians, Gangstars, Government officers, Business Men bhari matra me the.



Kalanki Avatar - II

2013, India

Bharat ki sabse badi party Congress(I) har morche par fail ho rahi thee. Bharat me charo taraf aarajkta aur Ashanti ka mahol tha. Berojgari aur garibi badh rahee thee. Mahangai thamnae ka naam nahi le rahi thee aur aam janta CONGRESS(I) se trast ho chuki thee. Pradhanmantri Sahab kisi bhi kaam ke na the aur garibi bhukhmari se crime ke graph upar badhta ja raha tha.



Kalanki Avatar - III



2014,India

2014 me Bharat ke aam chunav huye. Bharat ke aam chunav me Kamal Ram ek bahut bade neta ban kar ubhare. Rashtriya Hindu Party sabse jyada seato bar jeet kar aayi thee. RHP ne Kamal Ram ko apne Pradhanmantri pad ka ummid war ghoshit kiya. Gathbandhan ki rajniti me Kamal Ram ke liye ek mat banana jaruri tha. Kamal Ram khud eas kaam me lage aur unhe Bahumat mil gaya.



Kalanki Avatar - IV

2032, India

Kamal Ram ke upar huye hamale me vo buri tarah ghayal ho gaye. Hamala karane walo ko Kamal Ram ke bodyguards ne vahi dher kar diya. Kamal Ram ko Delhi ke sabse bade hospital me dakhil kiya gaya. Doctoro ne Kamal Ram ke halat kafi nazuk batai aur unka operation shuru kar diya. Kamal Ram ke body me se kul 15 bullets bahar nikali Gayee par Doctor Kamal Ram ko bachane me asafal rahe.



Kalanki Avatar - V

2032, India

Kamal Ram ki mrityu ke do mahine me hee Bharat ki dasha aur disha sab kuchh badalane lagi. Charo taraf ka mahol bigadane laga. Charo taraf afra tafri ka mahol tha. Shasan kisi bhi tarah ki rahat pahuchane me nakam tha. Rashtriya Hindu Party ka har neta Pradhanmantri banana chahta tha aur desh me ho rahi ghantano ki taraf dhyan na dekar rajnitik jod tod me laga tha.



To be Continued.......

No comments:

Post a Comment

.