Path Path Par Rukta Hu Mai Aage Chalane Ke Liye !
Ruk Kar Chalane Se Kabhi Haar Nahi Hoti !!
Path Par Girta Hu Mai, Uthta Hu Mai !
Gir Ke Uthane Se Kabhi Haar Nahi Hoti !!
Path Par Hazaro Adchane Hai, Adchano Se Ladta Hu Mai !
Adchano Se Ladane Par Kabhi Haar Nahi Hoti
Kabhi Akele To Kabhi Bheed Me Chalta Hu Mai !
Akele Ya Bheed Me Chalane Se Kabhi Haar Nahi Hoti !!
Jeevan Ek Saral Prakriya Hai, Isame Hazaro Uljhane Hai !
Uljhano Ko Suljhane Se Kabhi Haar Nahi Hoti !!
Karm Karta Hu Mai, Mehnat Karta Hu Mai !
Karm Aur Mehnat Karane Se Kabhi Haar Nahi Hoti !!
Path Path Par Rukta Hu Mai Aage Chalane Ke Liye !
Ruk Kar Chalane Se Kabhi Haar Nahi Hoti !!
- Kamal Upadhyay
No comments:
Post a Comment