2032, India
Bharat ke har kone se ek
ke baad ek Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass to OB vains kam pad
gayee har murder ki coverage dikhane ke liye. Police, Prasashan Sabhi samajh
nahi paa rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me uche avadho par baithe afsaro
ki tadat kam hoti ja rahi thee. Marane walo me Politicians, Gangstars,
Government officers, Business Men bhari matra me the.
Charo Taraf chal rahe
High profile muder se jaha Prasashan me afra tafri machi thee vahee dusari
taraf Janta me khushi ki laher daud rahee thee. Janta ye samajh gayee thee ki
murder karane wala koi masiha hai kyonki marne wale sabhi logo ke upar kisi na
kisi prakar ka aarop tha. Bade high profile cases me involve sabhi logo me
khuaf ka mahaol tha.
Police, CBI, IB, Army
Intelligence sabhi puri tarah se Murder mystery solve karane me lage the.
Intial report ke anushar ye kisi bahut hee high profile gang ka kaam hai jo
technology me advance hai. Prasashan ko kisi bhi crime scene se se koi bhi
sabut nahi mila, crime scene pe lage cctv cameras me koi bhi activity kaid nahi
hui thee.
Naam?
Apradhi?
Kaun?
People started calling
the murder God. Parantu pichhale kuchh dino me rape, murder aur chori ki ek bhi
mamale samane nahi aaye the. Shayad logo ko ye samjh aa gaya tha ki agar ham
koi galat kaam karenge to marane walo ki list me hamara bhi shumaar ho jayega.
Police sutro ke anushhar abhi tak chhote bade logo ko milakar 3745 log mare ja
chuke the aur sabhi marane walo ke upar court me case chal raha tha.
2013, India
Bharat ki sabse badi
party Congress(I) har morche par fail ho rahi thee. Bharat me charo taraf
aarajkta aur Ashanti ka mahol tha. Berojgari aur garibi badh rahee thee.
Mahangai thamnae ka naam nahi le rahi thee aur aam janta CONGRESS(I) se trast
ho chuki thee. Pradhanmantri Sahab kisi bhi kaam ke na the aur garibi bhukhmari
se crime ke graph upar badhta ja raha tha.
Bharat ke logo ka
Political parties aur unke Netao se bharosa uath gaya tha. Har aaye din kisi na
kisi neta ka naam scam me aa raha tha. Hajar Karod achanak se rupya do rupya
lagane lage the. Jab bhi tv kholo to News reporter kisi na kisi Neta ki pol
kholate dikhate the. Media wale apna kaam jor shor se kar rahe the aur bharat
ke eas 4th pillar ne Janta me thodi ummeed bacha ke rakhi thee.
Balatakar
Balatakar
Balatakar
Balatakar
Crime graph ke upar
chadhane me sabse bada haath jis crime ka tha vo tha Balatakar. Janta ke man se
Police aur Kanoon ka dar khatam ho raha tha. Anti Social elements apni manmani
kar rahe the aur Balatakar apni charam seema par tha. Shayad se Bharat ke Etihaas
me sabse jyada Balatakar eas samay par hee huye the. Ladkiyo aur Mahilao ke
jeena mushkil ho gaya tha aur sarkar abhi laachar thi.
Balatakar ke badhate
mamlo se janta aur trast hoti ja rahi thee. Social workers aur NGO India Gate,
Gate way of India aur bade bade chaupalo par sarkar ka virodh aur dharna
pradarshan kar rahe the. Police ka raviya thoda tough hua tha parantu crime
graph niche aane ka naam nahi le raha tha. Sarkar kaun chala raha tha eas baat
ka pata kisi ko nahi tha.
Logo ka manana tha ki
sarkar Italy se chal rahi hai aur Dilli to sirf naam ke liye Bharat ki Rajdhani
hai. Sarkari aur Police tantra fail ho gaya tha. Army ne aakar bharat ki kanoon
vyshta ko sambhala aur dhire dhire halat kabu me aa gaye. Ab janta Parivartan
chahati thee aur 2014 ke chunav najdik aa rahe the. Eas bar logo ne Congress(I)
ko satta se bahar faikane ka man bana liya tha.
2014,India
2014 me Bharat ke aam
chunav huye. Bharat ke aam chunav me Kamal Ram ek bahut bade neta ban kar
ubhare. Rashtriya Hindu Party sabse jyada seato bar jeet kar aayi thee. RHP ne
Kamal Ram ko apne Pradhanmantri pad ka ummid war ghoshit kiya. Gathbandhan ki
rajniti me Kamal Ram ke liye ek mat banana jaruri tha. Kamal Ram khud eas kaam
me lage aur unhe Bahumat mil gaya.
Kamal Ram ka janm
Maharashtra ke chhote se Gaon Kankvali me hua tha. Kamal Ram ke teen bhai aur
do bahen thi. Kamal Ram ke pita ek school me accountant the. Kamal Ram ne apani
padhai ke saath RHP ki yuva sanghtan me bhag lena shuru kiya. Apni mehnat aur
samjhdari se Kamal Ram RHP me apani paith banate gaye aur ek bade neta ban
gaye.
Kamal Ram ki kaptani me
RHP ne pahali bar apani sarkar banai. Kamal Ram ko ek tanashah neta mana jata
tha. Parantu unke Pradhanmantri banate hee jaise Bharat ka bhagya badal gaya.
Crime Graph niche jane laga, Berojgari kam hone lagi, chhote chhote laghu udyog
panapane lage aur dekhate hee dekhate charo tarah sukh aur samridi chha hayi.
Scam dhire dhire kam ho
rahe the aur yu kahe ki khatam ho gaye the, parantu Kamal Ram ke PM banane se
pahele jitane bhi neta ghotalo me shamil the vo apane paiso aur naam ke bal par
aajad ho gaye. Jin netao ne Bharat aur Bharat ke logo ko chus chus ka kamjor
kar diya tha vo khule aam aazad ghum rahe the. Kamal Ram ne sabhi gunahgaro ko
jail bhejane ka pura prayas kiya parantu sabut ki kami se unhe safalta nahi
Mili.
2014 se 2032 tak Kamal
Ram Bharat ke Pradhanmantri the. Kamal Ram ke Netratav me Bharat ne Nayi
safaltaye hasil ki. Mumbai jaise sahar me jahan Motor caro se tej insaan sadak
par chalate the vaha ab traffic dur dur tak nahi dikhata tha. Public transport
bahut hee badhiya ho gaya tha aur bhid bhad ab purana sapna ho gaya tha. Bharat
ab khud self defense ke equipment banata tha. Bharat ek Vikasshil desh se
Vikasit desh ban gaya tha.
Sab Kuchh sahi chal rah
tha parantu tabhi ek din Kamal Ram ki ek sabha me unpar hamala ho gaya.
2032, India
Kamal Ram ke upar huye hamale me vo buri tarah ghayal ho gaye. Hamala karane
walo ko Kamal Ram ke bodyguards ne vahi dher kar diya. Kamal Ram ko Delhi ke
sabse bade hospital me dakhil kiya gaya. Doctoro ne Kamal Ram ke halat kafi
nazuk batai aur unka operation shuru kar diya. Kamal Ram ke body me se kul 15
bullets bahar nikali Gayee par Doctor Kamal Ram ko bachane me asafal rahe.
Kamal Ram ki mrityu se pura desh hil gaya.
Charo taraf gam ka mahol chha gaya. Kamal Ram ne Bharat ko ek aisee bulandi par
pahuchaya tha jahan pahuchna har Bhartiya ka sapna hota hai. Kamal Ram ke
janaze me bahut bada jan shailab umada. Desh aur videsh ke bade bade log Kamal
Ram ki antim Yatra me aaye. USA ke president ne bhi Kamal Ram ki antim yatra me
bhaag liya.
Kamal Ram ke shok me pure desh me ek hafte ka
band ghoshit kiya gaya. Kamal Ram ki cheeta ki again abhi bujhi bhi Nahi thee
aur Rashtriya Hindu Party me agale Pradhanmantri ke nomination ke liye
Utha-Pathak chalane lagi. Kamal Ram ke rahate bahut se Rashtriya Hindu Party ke
Neta Pradhanmantri pad par baithana chahate the par Kamal Ram ki kabiliyat ne
unhe hamesha nirash kiya.
Bharat ki Rajniti ek naye daur se gujar rahee thee. Kamal Ram ne
sabhi cheezo ko itani badhiya tarike se sambhala tha ki kai department to bina
Kamal Ram ke bina ek din bhi kaam nahi kar sakate the. Kamal Ram ne shadi nahi
ki thee to parivarvaad yaha par havi nahi tha aur shayad isaliye hee Rashtriya
Hindu Party ka har Neta ab Pradhanmantri Banana chahata tha.
2032, India
Kamal Ram ki mrityu ke do mahine me hee Bharat ki dasha aur disha sab kuchh
badalane lagi. Charo taraf ka mahol bigadane laga. Charo taraf afra tafri ka
mahol tha. Shasan kisi bhi tarah ki rahat pahuchane me nakam tha. Rashtriya
Hindu Party ka har neta Pradhanmantri banana chahta tha aur desh me ho rahi
ghantano ki taraf dhyan na dekar rajnitik jod tod me laga tha.
Anti Social activities
badhane lagi, criminal graph phir se upar chadhane laga. Achanak se Bharat phir
2013 ke mahol me pahuch gaya tha. Gangwar, robbery, murder phir se News papers
ki headlines ban gaye the. Police aur sabhi sarkari tantra fail ho rahe the.
Political leaders eas situation ka phayada lena chahate the easliye unhe eas
kat maar me maza aa raha tha.
Aam aadmi ek bar phir
apne aap ko unsafe mahesus kar raha tha. Sadak par chalna ab mushkil tha. Har
kadam par dark a mahol tha. Kamal Ram ke marane ke kuchh hee mahino me aisee
halat hogi aisa kisi ne kalpana bhi nahi ki thee. Aam aadmi phir se masiha ki
talash me tha. Aam Aadmi ki jindagi jangal ke janwar ki tarah thee, jise pata
nahi tha kisi or se kab koi janali prani aakar unka shikar kar lega.
Aur phir
Bharat
ke har kone se ek ke baad ek Murder ki khabare aane lagi. Media ke pass
to OB vains kam pad gayee har murder ki coverage dikhane ke liye. Police,
Prasashan Sabhi samajh nahi paa rahe the ki ye kya ho raha hai. Prasashan me
bade avadho par baithe afsaro ki tadat kam hoti ja rahi thee. Har taraf
Politicians, Gangstars, Government officers, Business Men mar rahe the.
Shayad
se Aam Aadmi ka masiha aa chukka tha.