Sunday, 11 December 2011

Ghotalo Ka Desh Bharat

I was checking statics of my blog today and I saw a person landed on my blog searching for “Ghotalo Ka Desh Bharat”. Ek Samay tha jab bharat ko sone ki Chidiya ke naam se jaana jata that. 1857 mai angrej aaye aur bharat ka sona loot kar le gaye.





Bharat ko 1947 mai aajadi mail gayi. Angrejo ke jane ke bad bhi bharat mai bahut sampati aur dhan-daulat bachi thi. Ham bhartiy uskae baad lage har taraha ke ghotalo se aapne liye paisa banae ke chakkar mai.



Pichhale kooch varso mai Ghotalo ne aapne record tod diya aur bharat ke saath saath bhartiyo ko bhi pre sansaar mai badnaam kar diya. 2G ghotale ne bharat ka naam itana badnaam kiya ki ab log google par Bharat ko dhoodhante waqt saath mai ghotalo ka desh likhna nahi bhulta.





Sanskrit mai ek shlok hai ki

“Akale kritya karbdham kartunarthay kalpate !

Tadev kale charabdham mahate arthay kalpate !!



Galat Samay mai shuru kiye gaye kaam ka koi laabh nahi hota parantu sahi samay pe shuru kiye gaye kaam se bahut laabh hota hai. Kisan yadi barish hone ke baad muhrut ka intazaar kare aur beej nahi boye to use phasal nahi milegee.



Hamari sarkaar ko ab muhurat ka intazaar chhodkar ek majoobt barath ki sanrachan ke liye prayash karana chahiye.





Kar Raha Kamaal,

Kamal Upadhyay

No comments:

Post a Comment

.