Thursday 2 May 2013

Bachpan ki Neendiya

Maa ke uthane par dubak kar so jata tha.
Bachpan ki neendiya me bada maza aata tha.




Aath ghante ki neend ko bara ghante tak le jata tha.
Bachpan ki neendiya me bada maza aata tha.
 


Ghadi ki tik tik ki parvah nahi karta tha.
Bachpan ki neendiya me bada maza aata tha.
 


Alarm bajane par kaan band kar so jata tha.

Bachpan ki neendiya me bada maza aata tha.
 


Bistar aur jameen ka pharak nahi samjh aata tha.
Bachpan ki neendiya me bada maza aata tha.




Doing Kamaal, 

Kamal Upadhyay

No comments:

Post a Comment

.