Monday, 27 May 2013

Lal Salam - Journey of a Comrade

Jharkhand Ke Jungalo Se Mukhiya Ko Pakad Ka City Court Me pesh kiya gaya.
Judge sahab ne Mukhiya ko 20 din ki police remand me bhejane ka nirdesh
diya. Mukhiya ke upar 45 murder, 122 choriya aur 18 baltkaar ke aarop
the. Police aur Rajy Prshasan Mukhiya ko pichhale 7 saal se dhundh raha
tha. Mukhiya ne ab tak 13 police walo ko jaan se mara tha. kai murder to
aise bhi the jo police record me nahi the.

Mukhiya ko jail me
lakar sabse chhote anddaa cell me band kar diya gaya. Police wale
mukhiya se puchh taachh karna chahate the par kisi me itanee himmat na
thee ki mukhiya ke samene ja ke baith sakee. Daroga Anant Kumar police
station me aate hee, Mukhiya ke cell me ghus gaye. Bhaiyjee Pranam !
Daroga ne dono haath jodkar Mukhiya se kaha. Mukhiya ne bola aao daroga
baitho. Anant Kumar chuchaap Mukhiya ke bagal aakar baith gaye. Halchal
ke baad Daroga sahab vida lete hue cell se nikal gaye.

Mukhiya 10X10 ke ek kamre me akela baitha tha. Usake liye ye zindagi aam baat
thee. Maowadi gut ka sargna hone ke karan Mukhiya hamesha jameen se
juda aadmi tha. sachchi ki jeet aur burai ki haar me use hamesha
bharosha the. sachchi ki haar usase bardast nahi hui aur isliye usane
Maowadiyo ki rah chunani padi. apni lagan, imandari aur apne comrado ke
prati insaf ke raviyye ne use inka sargna bana diya.

Mumbai ke
sabse bade management college se marketing me MBA karne ke baad Mukhiya
ne USA me naukri join kar lee. Mukhiya ka asali naam Harsh Pratap
Upadhyay tha. MBA admission me usane pure jharkhan me top kiya tha. MBA
karne ke baad USA ke naukari milate hee, Mukhiya USA shift ho
gaya.Mahine ki antim tarikh ko vo Maa - babuji ke liye paise bhej deta
aur phone par unse baat kar leta tha. Mukhiya ki life bade aaram se chal
rahee thee.

Mukhiya jis gaon me raheta tha vo ilaka maowadiyo
ka gadh tha. Mukhiya ki padhai likhai in Maowadiyo ke beech nahi hui thee par uski chhutiyo unke baach gujartee thee.
Babuji hamesha se Mukhiya ko Gaon se dur rakhte the, unhe pata tha ki
Maowadiyo ki sangat me Mukhiya bigad jayega. Mukhiya chhutiyo me gaon
aata aur kuchh din bita ke phir vapas chala jaata tha. Mukhiya ke babuji
gaon me daak master the isliye gaon ke har ghar ki khabar unhe raheti
thee.

Maowadiyo ne danted ke pass ek CRPPF ki tukadi ko bam se
uda diya. eas bomb blast me 32 CRPPF ke jawan mare gaye. CRPPF ke sabhi
jawan paheli baar apni training puri karke posting par aaye the. parantu
bhagwan ke sitam se unhone naukari par pura ek din bhi nahi bitaya aur
jaan gawa baithe. Maowadiyo ke eas hamlae ne pura police tabke aur CRPPF
ko andar se hila diya. CRPPF aur Police ne usake baad kai joint
operation kiye jisame Maowadiyo ke saath kai begunah maare gaye.

CRPPF
aur Maowadiyo ki maar-kat me Mukhiya ke Pitaji ka bhi murder ho gaya.
Mukhiya ke pass khabar pahuchi aur Mukhiya USA se India ki flight me
sawar ho gaya. Mukhiya Mumbai airport se bahar aa raha tha ki police ke
kuchh jawano ne use hirasat me le liya. Mukhiya ko CRPPF ke chhatisgadh
head quarter me le jaya gaya. Mukhiya ke upar videsho se Maowadi
sanghthan ko funding karne ka aarop laga tha, jisase khud Mukhiya anjaan tha.

47 din tak CRPPF ki hirasat me rahene ke baad
Mukhiya ko CRPPF ne azad kar diya. Mukhiya CRPPF ki kaid se
aazad hone ke baad ghar pahucha. Mukhiya ka ghar puri tarah se jalkar
khaak ho chuka tha. Mukhiya ke Pitaji ko CRPPF ne Zinda jala diya tha.
CRPPF ke logo ka manana tha ki Mukhiya ke pitaji ko sare Maowadiyo ki
khabar hai par vo CRPPF se sari bate chhupa rahe hai. Mukhiya ki Maa ka
CRPPF ke hamle ke din ke baad se koi pata nahi chala.







Doing Kamaal, 
Kamal 'Pandit'



Soon will be back with part II. keep reading.



upar likhe sabhi paatr, ghantna sthal kalpnik hai inka kisi bhi jivit ya mrit vykti se samanta matra ek sanjog mana jayega.

No comments:

Post a Comment

.