Thursday, 23 May 2013

Dhudhwali Nadiya


Bharat ko ek samay par sone ki chidiya kaha jata tha. Bharat bahut
sampann desh tha. logo ka aisa kahena hai ki ek samay bharat me dhudhwali
nadiya baheti thee. parantu badalte samay ke saath na bharat sone ki
chidiya raha aur na vo dhudhwali nadiyan rahee. Bharat ki sampnnta kaha
kho gayee. Bharat hamesha videshee hamlo se jujhta raha hai aur har ek
hamle ke baad kamjor hote gaya.

Angrejo ne pure 200 saal jo
hamara khun chusa, ham aaj bhi uas trasadi se bahar nahi nikal paaye
hai. Angrejo ke jaane ke baad bacha khucha kasar hamare apane neta aur
sahukaro ne kar diya. garib aur garib hota gaya - amir aur amir hota
gaya. Jis desh me dhudhwali nadiyan bahetee thee aaj vaha log bhukepet
sote hai aur kuposhan ke shikar ho rahe hai. hamrai sampnnta ke saath
aatma bhi kahi kho gayee hai.

Ab sirf uas din ka intzaar hai jab vo dhudhwali nadiya phir bahengee aur bharat ka har nagrik sampnn hoga.







No comments:

Post a Comment

.