Friday 31 May 2013

Harjot aur Ugravadi


Harjot aur Ugravadi - I 





Charo Taraf Bijalee Joro Se Kadak Rahi Thee. Barish
Thamne Ka Naam Nahi Le Rahi Thee. Major Kamal Naath Aur Harjot Kaur Aapni
Tukadi Se Bichhad Gaye The. Musldhar Barish Me Radio Set Kaam Nahi Kar Rahe The
Easliye Aapni Tukadi Se Sampark Karna Dono Ke Liye Mushkil Ho Raha Tha. Arms
Aur Ammunition Ke Naam Par Dono Ke Pass Sirf Gintee Ke Kartus Aur Hand Grande
Bache The. Khane Ke Naam Par Kuchh Nahi Tha Aur Pine Ke Naam Par Charo Taraf
Pani Hee Pani Tha. Jangal Me Khana Dhundhana Jyada Mushkil Na Tha Par Ulfa
Ugravadiyo Ka Dar Bhi Man Me Tha. Chhoti See Galat Harkat Dono Ko Bhagwaan Ke
Pass Pahucha Sakti Thee.




Harjot aur Ugravadi - II 

Harjot
Ne Behosh Hone Ke Liye Behoshi Ki Goli Kha Lee Thee. Goli Ka Asar 3-4
Ghante Me Khatam Ho Gaya. Harjot Ne Jab Aankh Kholi To Vo Ek Malmal Ke
Gadde Par Soyi Thee. Tomar Rahta To Jungle Me Tha Par Usake Shoak Navabi
The. China Ke Bade Bade Businessmen Usake Sare Kharch Ka Paisa Deta
The. Tomar Ke Liye Barud Se Lekar Mahal Ki Thaath Baat Sab Muft Thee.




Harjot aur Ugravadi - III 

Gautami
ke bahar jaane ke baad Harjot phir se apne bistar se uthi aur darwaje ke
pass aakar kaan lagakar khadi ho gayee. Jab Harjot ko puri tarah se
bharosa ho gaya ki bahar koi nahi hai to usane apne baal se pin nikalkar
darwaja khol diya. Darwaja khulate hee Harjot dang rahe gayi. Jis
galiyaare me harjot nikali usame kul 20 se jyada kamre the. Gufa ke
andar Tomar ne ek Mahal bana rakha tha.




Harjot aur Ugravadi - IV 

Harjot
ne kai bar Army camp se sampark karne ki koshish kee parantu sat lite
phone kaam nahi kar raha tha. Goli ki awaz sunate hee Harjot apne kamare
ki taraf daudi. Harjot ne apne kamare me pahuch kar darwaza band kar
liya aur bistar par jakar late gayi. Harjot ko ye baat samajh aa gayi
thee ki ab use jo bhi karna hai akele karna hai. Kamal Nath mar chuka
tha aur Army camp se sampark nahi ho paa raha tha.
 
 
 
   

No comments:

Post a Comment

.