Tuesday 21 May 2013

Mera Sher - Ferrari

Dadaji van vibhag me kaam karte the. Dadaji ke retirement
ke baad vo jungle ke bahar hee makan bana ke rahane lage. Pitajee, Mai aur Maa
Dadaji ke sath hee rahate the. Pitajee pass hee ke ek school me teacher the aur
Maa ghar grihasti ka kaam dekhati thee. Dadaji bhi din bhar yaha vaha jungalo
me ghumate aur sham ko kuchh na kuchh naye nusake jungle se le aate.






Dadaji shikari nahi the par jab kabhi shahar se bade amir
logo ka kafila shikar khelane aata, vo Dadaji ko apne sath le jate kyonki
Dadaji jungle ke har ek kone ko jante the. 
Dadaji batate the ki jungle me hone wale in shikari khelo me khane pine
ka intzaam bahut badhiya hota tha. Shahri logo yaha jungle me masum janwaro ko
marke apna jee bahalate the.





Garmi ke din chal rahe the aur Dadaji ko ek din ek shikar me
chalane ka newta aaya. Dadaji ne apni shari taiyaree kar lee. Eas bar unhe
Shikariyo ko Sher tak pahuchana tha. Sher ka shikar bahut kam hee log karane
aate the. Sahari log aksar Heeran ko hee mar ke khana pasand karte the. Sher ka
shikar aasan nahi tha. Par Dadaji ko ye baat pata thee ki Sher kaha milega.





Dadaji shikariyo ke sath uas jagah pahuch gaye jaha sher
hamesh ghumate rahate the. Shikari bhi apni banduk me goli bhar ke taiyaar the
aur sher ko dekhate hee firing chalu kar dee. Goli – bari me shikariyo ne do
sher mare aur baki sher jaan bachakar bhag gaye. Shikari mare shero ko utha
kar apne tent ke taraf chal diye. Dadaji ka dhyan achanak se ek jhadi ki taraf
gaya aur Dadaji jab vaha pahuche to jhat ek chhota janwar unke upar jhpat pada.





Dadaji niche gir pade. Dadaji ke niche girate hee vo janwar
Dadaji ke pair chatane laga. Dadaji ne jaise hee uas Janwar ko dekha vo bhor
vimugdha ho gaye. Ek chhota sher ka bachha Dadaji ke pass tha. Dadaji jungle me
use akela nahi chhoda sakate the. Akela chhodane par shikari ya phir jungli janwar ek din me uska kaam tamaam kar dete.





Dadaji sher ke bachhe ko apne thaile me bhara aur ghar ki
taraf chal diya. Ghar pahuchate hee unhone mujhe bulaya aur kaha ghar me se
dudh lekar aa. Mai jhat se andar gaya aur Dudh lekar bahar aa gaya. Dadaji ne
Thaile me se chhote sher ko nikala aur dudh pilane lage. Sher ka bachha bada
hee pyara tha aur billi jaisa dikhta tha.





Hamane Sher ke bachhe ka naam Ferrari raka. Kyonki  jab Ferrari bhagta tha tab motorcar bhi use
hara nahi sakti thee. Ferrari ki uchal kud aur mera bachpan bahut hee majedar
gujara raha tha. Ferrari ab dhire dhire bada hone laga aur dudh chhodkar
maans-matan khane laga. Ferrari raat ko murgiyo ke dadbe se murgiya marker
khaa jata tha.





Ferrari ki mastiya dhire dhire aur badhane lagi. Ferrrai
kabhi insaano ko chot nahi pahuchata tha par yaha vaha logo ke paltu janwar mar
ke khata raheta tha. Ferrari ki harkato se tang aakar Dadaji ne use Pizade me
band karna shuru kar diya aur shaam ke waqt Ferrari ko apne saath ghumane le jaate
the. Par vo samjhte the ki ab Ferrari ko jyda din saath rakhna sanbhav nahi
hai.





Ek Din Dadaji ne Ferrari ko jungle me chhodane ka nirnay
liya parantu ye sochkar dar gaye ki jungle me use shikari jaane se mar
denge.  Dadaji ne Ferrari ko Gir ke abhayaran me chhodane ka man bana liya. Abhyaran ke officero se baat karane ke
baad vo ek din ghar se ek truck me nikale aur Gir me jakar Ferrari ko chhod
aaya. Dadaji ne dekha ki vaha aur bhi sher hai to Ferrari vaha pahuch kar khush
ho gaya tha.





Ek din Dadaji shaam ke waqt Ghum rahe the ki achanak se ek
sher samane aa gaya. Dadaji ne use dekhate hee pahchan liya aur Ferrari ko ghar
le aaye. Dadaji abhi bhi hairat  me the
ki Ferrari itana dur kaise chala aaya. Parantu use apne pass dekh kar vo sab
kuchh bhul gaye the. Dadaji Ferrari ko ghar le aaye. Aur usake saath baith kar
khana khaya.





Dadaji ne aaj Ferrari ko kaid me nahi dala aur use apne
kamare me lekar chale gaye. Dusare din subah ke das baj rahe the Dadaji ka
kamara abhi bhi band tha. Pitajee jab darwaze ke karib pahuch kar do char bar
kundi bajayee to darwaza andar se khul gaya. Dadaji ek taraf lete pade the aur
Ferrari ka kahi ata pata nahi tha.





Dadaji ko hospitale le jane se pahele hee unki maut ho chuki
thee. Dadaji Ferrari se bahut pyaar karate the shayad eas liye Ferrari antim
bar unse milane aaya tha. Nahi to itanee dur Gir ke abhyaran se ghar take ek
sher ke liye aana mushkil tha. Dadaji aur Ferrari ka lagav hee Ferrari ko shayad Dadaji ke pass khich laya tha aur Dadaji se milane ke baad vo phir khai
gum ho gaya.





Doing Kamaal, 
Kamal Upadhyay

No comments:

Post a Comment

.