Barish Ka Intzaar - I
July Ka Mahina Tha, Gain Mai Log Abhi Bhi Barisk Ka Intzaar
Kar Rahe The. Pura June Khatam Ho Gaya Tha Par Barish Nahi Ho Rahi Thi. Badal
Ghir – Ghir Aate Aur Chale Jate. Pura Gaon Barish Ke Liye Puja – Yagna Kar Raha
Tha. Kheti Mahine Bhar Se Der Ho Chuki Thi. Har Jeeveet Prani Barish Ke Liye
Vyakul Tha.
Barish Ka Intzaar - II
Badal Zor Zor Se Garjane Lage !! Badalo Ki Garjana Sunkar
Sabhi Log Ghar Se Bahar Aa Gaye, Aakhir Eas Din Ka Pura Gaon Besabri Se Intzaar
Kar Raha Tha. Badal Garjane Ke Saath Barsane Lage Aur Charo Taraf Pani Ki
Bauchhar Ho Rahi Thi. Meetti Ki Sondhi Khushabu Charo Taraf Se Aa Rahi Thi.
Gaon Wale Barish Mai Bheeg Kar Barish Ka Maza Le Rahe The.
Barish Ka Intzaar - III
Musladhaar Barish Ek Saptha Tak Hui Aur Phir Ruk Gayi. Log
Kheto Mai Dhan Ki Buwai Aur Gudai Mai Lag Gaye. Pahadi Elaka Tha To Logo Ke
Pass Kheti Ke Layak Jameen Kam Thi. Har Kisis Ke Pass Itani Jamin Thi Ki Jisase
Unka Gujar Basar Ho Jaye. Gaon Mai Ab
Bhar Pet Pine Ko Pani Tha. Pahado Se Pani Rista Aur Jharne Bhi Jhar-Jhar Bah
Rahe The.
Barish Ka Intzaar - IV
August Ka Mahina Aa Gaya.
Barish Bhi Aapne Pure Jor Mai Thee. Shadi Ki Tiayaari Dono Taraf Chal Rahi Thi.
Ek Taraf Naach Gaana aur Dusari Taraf Khana – Pina. Sab Cheeze Chal Rahee Thee.
Pana Tomar Ne Har Cheeze Dugane Bhav Se Di Thee. Sadi Ka Din Tha To Dattu aur
Soniya Ke Parivar Ke Paas Aur Koi Rasta Bhi Nahi Tha. Baraat Jaane Ka Intzaam
Ho Gaya Tha Aur Barat Aane Ka Bhi Intzaam Ho Gaya Tha.
No comments:
Post a Comment