Tuesday 4 June 2013

धुँआवाला

Yashwant baki bachho ke saath maidan me khel raha
tha. achanak se sabhi bachhe chillane lage धुँआवाला  धुँआवाला. Har koi
galli ki taraf bhagane lage par धुँआवाला kahi nazar nahi aa raha tha.
धुँआवाला ki machine ki aawaj dur se hee sunai de rahee thee. Sabhi
Bachhe धुँआवाला ke धुंवे me khelna chahate the. jab bhi धुँआवाला gali se
gujarta bachhe usake pichhe pichhe धुंवे में uchal kud machate the.

धुँआवाला
- Mumbai me machharo ka prakop badh gaya tha to isliye machharo se hone
wali bimaree ko rokane ke liye BMC ki taraf se ek banda fogging ka pump
le aata aur usame machhar marane wali dawa dala ke use धुंवे ke rup me
charo taraf phailata. Pahele to bachhe धुँआवाला se darate the par dhire
dhire vo धुंवे ki khushbu me usaki ujali parchhyee me khelane lage.

धुँआवाला
achnak se dikha aur Yashwant ke saath baki bachhe uas gali me pahunch
gaye jaha se धुँआवाला aa raha tha. Ab sabhi bachhe धुँआवाला ke pichhe
laga gaye. Uchala kud, dhmal chukadi, bachhe ek dusare ke upar kudate
aur yaha vaha marke bhag jaate, mazzak me bachhe ek dusare ki chaddhi
utarte aur bhag jaate. धुँआवाला bhi bachho se tang ho jata tha par use
uska kaam karna padta tha.

Yashwant shaam tak ghar nahi aaya.
Yashwant ke gharwalo ne usaki talash karane lage. Bachho se puchane par
pata chala ki use last bar धुँआवाला ke pichhe daudate dekha gaya tha.
usake baad kisi bhi bachhe ne use nahi dekha. Yashwant ke gharwale
police station me jakar report kar aaye. Bachhe phir se jab धुँआवाला aata to
usake pichhe daudane lagate aur dhamal machate.

Yashwant ka phir
kabhi pata nahi chala. Bharat me har saal hazaro bachhe es tarah gayab
ho jate hai aur unka phir kabhi pata nahi chalta hai.





Doing Kamaal, 


Kamal Upadhyay

No comments:

Post a Comment

.