Saturday, 8 June 2013

Badal aaj kai dino ke baad Roya

Dur Gagan me kahi tha ab tak khoya !
Badal aaj kai dino ke baad Roya !!

Badal rota, mai muskurata hu !
Vo gam batata, mai khushiya manata hu !!

Badal ke aansu ne sara jag bheegoya !
Badal aaj kai dino ke baad Roya !!

Ab badal rota, mai hasta nahi tha !
Uske aansu par mai maze kasta nahi tha !!

Badal ke aansu ne hariyali ka manajar laaya !
Sapno sa tha darpan, jag ko aansu ne chamkaya !!

Badal ne rone ki jaise zid thee thani !
Usaki aansu dharti par kar rahe the manmaani !!

Ab badal rota to mai bhi rota hu !
Apne sapane uske aansu se bhigota hu !!

Hariyali ka manjar jaise ujada, kahi khoya !
Badal aaj kai dino ke baad Roya !!

Kucch mahine bite badal maan gaya !
Apne aansu ko thamna jaise jaan gaya !!

Ab Badal Muskurata Hai, Mai Muskurata Hu !
Rone par kisi ke na hasna ye sabko smjhata hu !!

Dur Gagan me kahi tha ab tak khoya !
Badal aaj kai dino ke baad Roya !!







Doing Kamaal,
Kamal Upadhyay





No comments:

Post a Comment

.